Re: Bait Bazi - May
Aata hi nahiN Dil maiN rehayi ka tassawur..
bohat ajeeb Jurm-e-mohabbat ki Saza hai..
'he' ye'
Re: Bait Bazi - May
Aata hi nahiN Dil maiN rehayi ka tassawur..
bohat ajeeb Jurm-e-mohabbat ki Saza hai..
'he' ye'
Re: Bait Bazi - May
Ya Rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki kheir ho
dast-e-janooN rahey na rahey, aas hi rahey
Rey aur Ye
Re: Bait Bazi - May
Rat jagay baRha liye isi hisaab maiN ham nay.. **
**mohabbat unko hai? nahiN hai? thi? nahiN thi..
'te' ye'
Re: Bait Bazi - May
Terey liye chaley the hum , terey liye thehar ge
tu ne kaha to ji uthey , tu ne kaha to mar ge
**
**Gaaf aur Ye
Re: Bait Bazi - May
guzaray dinoN kii yaad barasati ghaTaa lagay
guzrooN jo uss galii say to thandi hawaa lagay
'laam' ye'
Re: Bait Bazi - May
Lafz jab tak wuzu nahi kartey
hum teri guftugu nahi kartey
Kaaf aur Ye
Re: Bait Bazi - May
Konsi chiz apnay bus main nahi
Dil magar apni dastarus main nahi
Noon or Ye
Re: Bait Bazi - May
gaaf/yeh
Re: Bait Bazi - May
gulon mi rang bhare baade no bahar chale
chale bhi aoo k gulshan ka kaobaar chale
CHEY/yey
Re: Bait Bazi - May
Chahat main kia duniya-dari, ishq main kesi majbori
logon ka kia samjhany do, in ki apni majbori
Meem/Ye
Re: Bait Bazi - May
MeiN tere milne ko moijza keh gaya tha lekin
tere bicharne ka saaneha bhi kamaal guzra
Gaaf aur Alif
Re: Bait Bazi - May
Gham hai ya khush hai tu, meri zindagi hai tu
aafaton ke door main chaiin ki ghaRi hai tu
Tey/Wao
Re: Bait Bazi - May
Saarey filmi gaaney hi sunaaney heiN kya? ![]()
Re: Bait Bazi - May
is waqt yehi yaad aa rahay hain ![]()
Re: Bait Bazi - May
Wo mujhey zindagai samajhta hey
kya usey mera aetibaar nahi!
**
**Noon **aur Ye**
Re: Bait Bazi - May
Na tha kuch to khuda tha, na kuch hota to khuda hota
dboya mujy ko honay ne, na hota main to kia hota
hey/alif
Re: Bait Bazi - May
Ye sheir itni baar repeat hota hey jesey government repeat karti hey ke “kisi ko amn-o-amaan kharaab karney ki ijaazat nahi di jaey gi”… ![]()
Re: Bait Bazi - May
![]()
ab kia karain jo dil main aaya keh dia ![]()
Re: Bait Bazi - May
**
Ik baar wo mila tha mujhe berukhi ke saath
us din se dil ka sheher barabar udaas hey
Hey aur Ye
**
Re: Bait Bazi - May
ye samandar jo ab milny milany se gaya
gaye waqton main hoa karta tha mehman mera
aik duniya main simat aaye, mumkin hi nai
itni duniyaaon main bikhra hoa hai saman mera
Meen/Alif