Re: Bait Bazi -May 2014
^
in poetry ![]()
Re: Bait Bazi -May 2014
^
in poetry ![]()
Re: Bait Bazi -May 2014
umedy sobhy nou ki ab kahen se to naved aai
ujaly ki kiran phutay , ghari koe saeed aaiiiiiii
ALIF/YE
Re: Bait Bazi -May 2014
Yoon tassali de rahe hain hum dil-e-beemar ko,
Jiss tarah thaamey koi girti hui deewaar ko..
kaaf/wao
Re: Bait Bazi -May 2014
kahan qatil badaltay hain, faqat chehray badaltay hain,
ajab apna safar hai, faaslay bhi sath chaltay hain
hay/noon
Re: Bait Bazi -May 2014
**nasiib aazamaane ke din aa rahe hain
qariib un ke aane ke din aa rahe hain
hey/noon**
Re: Bait Bazi -May 2014
Har dua mein raha khayaal tera,
Iss tarah tujhse raabta rakha..
ray/alif
Re: Bait Bazi -May 2014
ragon mein dortay phirnay kay hum nahi qaail,
jab ankh say hi na tapka tu wo lahu kya hai (ghalib)
hay/ye
Re: Bait Bazi -May 2014
*ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib'! *
**tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota
HEY/ALIF
**
Re: Bait Bazi -May 2014
us mor se shuroo kartay hain phir ye zindagi,
her shay jahan haseen thi, hum tum thay ajnabi
alif/ye
Re: Bait Bazi -May 2014
Umeed Na Rakh Doulat-E-Dunya Se Wafa Ki
Ram Uss Ki Tabiyat Mein Hai Manind-E-Ghazala
ghen/ hey
Re: Bait Bazi -May 2014
gham apne kisi tor ayadat nahi kartay,
hum ehl e wafa itni jasarat nahi kartay,
hum log khatawar mohbbat sahi lekin,
hum log wafaon ki tijarat nahi kartay
kaaf/ye
Re: Bait Bazi -May 2014
ALIF/YE
Re: Bait Bazi -May 2014
aisii dahashat thii fazaaon mein khule paanii kii
**aankh jhapakii bhii nahin haath se patavaar gire
gaaf/ye**
Re: Bait Bazi -May 2014
HEY/YE
Re: Bait Bazi -May 2014
haan kis ko hai mayassar ye kaam kar guzaranaa
**ik baankpan se jiinaa ik baankpan se maranaa
meem/alif**
Re: Bait Bazi -May 2014
Ehsaas nahin tha ke tanhaa hoon mein aaj kal,
Tu ne sawaal chairr kar achaa naheen kiya..
kaaf/alif
Re: Bait Bazi -May 2014
gaaf/alif
Re: Bait Bazi -May 2014
Uljhi huyi nigaahon se mujhe dekhta raha,
Aayiney mein kharra shakhs pareshan tha bohat.
bay/tey
Re: Bait Bazi -May 2014
kaaf/wao
Re: Bait Bazi -May 2014
Koi us jaisa nahi hai in dinon,
Woh bhi wesa nahi hai in dinon
daal/noon