**NA ADam hai Na adam Zaad koi
Kin Awazun se sar takra raha hun mae
**![]()
meem/noon
**NA ADam hai Na adam Zaad koi
Kin Awazun se sar takra raha hun mae
**![]()
meem/noon
Re: Bait Bazi -May 2014
mauj baRhe ya aandhi aae, diya jale rakhna hai
ghar ki khatir sau dukh jhelen, ghar to aakhir apna hai
he/ye
Re: Bait Bazi -May 2014
Yoon phir raha hai kaanch ka paikar liye huye,
Ghaafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga..
gaaf/alif
Re: Bait Bazi -May 2014
Gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa,
Gar jeet gae to kia kehna, hare bhi to bazi mat nahin
noon
Re: Bait Bazi -May 2014
*na kah saaqii bahaar aane ke din hain *
**jigar ke daag chhil jaane ke din hain
hey/noon**
Re: Bait Bazi -May 2014
Hoti nahi qubool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho tou zuba'n mein asar kahan?
kaaf/ noon
Re: Bait Bazi -May 2014
*kaanton kii chubhan paii phuulon kaa mazaa bhii *
**dil dard ke mausam mein royaa bhii hansaa bhii
bey/ye**
Re: Bait Bazi -May 2014
Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga,
Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin,
NooN
Re: Bait Bazi -May 2014
nahin hai tum se koii dostii bhii ab to magar
**qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai
hey/ye**
Re: Bait Bazi -May 2014
Yoon tassali de rahe hain hum dil-e-beemar ko,
Jiss tarah thaamey koi girti hui deewaar ko..
kaaf/wao
Re: Bait Bazi -May 2014
hy/yi
Re: Bait Bazi -May 2014
*yaad karanaa har gharii us yaar kaa *
**hai vazifaa mujh dil-e-bimaar kaa
kaaf/alif **
Re: Bait Bazi -May 2014
hy/noon
Re: Bait Bazi -May 2014
haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunaanaa chaahaa
**mujh ko har shakhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa
che/alif**
Re: Bait Bazi -May 2014
chalnay ka hosla nahin, rukna muhal kar dya,
ishq ke is safar ne tu mujhay nidhal kar dya (parveen shakir)
daal/ye
Re: Bait Bazi -May 2014
*yaad hai.n vo husn-o-ulfat kii niraalii shokhiyaan *
**iltamaas-e-uzr-o-tamahiid-e-shikaayat ke maze
meem/ye**
Re: Bait Bazi -May 2014
Muhabbat ne ragon main kis tarah ki roshni bhar di
ke jal uthta hai Amjad dil, charagh e shaam se pehle
pe/ye
Re: Bait Bazi -May 2014
phir nazar mein phool mehke dil mein phir shammain jaleen
phir tasawwur ne liyaa uss bazm mein janey ka naam
Re: Bait Bazi -May 2014
Mosam ki sazish hai ya phir mitti baanjh hui
paeR ziada hote jaen, ghat'ta jae phal
pe/laam
Re: Bait Bazi -May 2014
Phir niklaa deewana koi phoonk ke ghar ko
Kuch kahti hai har raah har ek raahguzar se.