Bait Bazi -May 2014

Re: Bait Bazi -May 2014

Soyen ge teri aankh ki khilwat main kisi raat
saaye main teri zulf ke jaagen ge kisi din

daal.noon

Re: Bait Bazi -May 2014

dard is qadar barha ke mai ghabra ke pee gaya
is dil ki be-basi pe taras khaa ke pee gaya

gaaf/ alif

Haroon Ahmad
DET - U.S. Central Command
www.facebook.com/centcomurdu

Re: Bait Bazi -May 2014

wah wah, kya baat hai…

Its good to see you posting in other forums too Haroon Sahab. Please continue to do that. Its good to know Centcom, but its great to know Haroon Ahmad. Tell us about your family, post about your kids in Parenting or life (I am assuming that you are married). It will be a great perspective for all of us.

Re: Bait Bazi -May 2014

Gazale.n kumhalaa gaiin nazmen murjhaa gaiin
**giit sanvalaa gaye saaz chup ho gaye

gaaf/ye**

Re: Bait Bazi -May 2014

http://www.sadpoetry.org/wp-content/uploads/2013/10/iqbal-poetry-urdu.jpg

hy yi

Re: Bait Bazi -May 2014

*yaa rab vo na samajhe hain na samajhenge merii baat *
**de aur dil unako jo na de mujhako zubaan aur

alif/rey**

Re: Bait Bazi -May 2014

auron ke hath thaamo unhe raasta dikhao
main bhool jaoon apna hi ghar, tunko iss se kiya

kaaf/alif

Re: Bait Bazi -May 2014

*aaj dukaan pe niilaam uthegaa un kaa *
*tuune jin giiton pe rakkhii thii muhabbat kii asaas
*

*aaj chaandii kii taraazuu mein tulegii har chiiz *
**mere afakaar merii shaayarii meraa ehasaas

alif/seen**

Re: Bait Bazi -May 2014

Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Howa Malba Hi To Hai,
Jis Jaga Ishq Ne Buniyad Makaan Rakhi Thi…!

thy/yi

Re: Bait Bazi -May 2014

Ye kya sab se bayaan dil ki halateiN karni
"Faraz" tujhko na aayi mohabbateiN karni

kaaf/ye

Thanks @TLK :) - I am an Urdu poetry addict actually, so this forum is great for me.

Haroon Ahmad
DET - U.S. Central Command
www.facebook.com/centcomurdu

Re: Bait Bazi -May 2014

kaash ban jaatii hayaat-e-jaavidaan kal raat ko
**kis qadar mahabuub thii umr-e-ravaan kal raat ko

kaaf/vao**

Re: Bait Bazi -May 2014

kon kehta hy ke khoda nazar nhai aata
aik vohi to nazr aata hy jb kuch nzr nhai aata

aalf

Re: Bait Bazi -May 2014

*ajaaz-e-isavii se nahii.n bahas ishq me.n *
**terii hii baat jaan-e-mujassim bahut hai yaan

ye/noon**

Re: Bait Bazi -May 2014

Ya tera tazkraa kare har shakss,
Ya koi mujhse guftguu na kare..

kaaf/ye

Re: Bait Bazi -May 2014

https://encrypted-tbn1.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcSR8AKLFD-zM7Dgclu2jl-__z4Cw4gmPJmJVtcgrrfp7QS78V_WtA

jeem/wao

Re: Bait Bazi -May 2014

woh mujh say bichar kar ab tuk roya nahi Faraz,
koi tu hai hamdard jo usay ronay nahi daita

daal/alif

Re: Bait Bazi -May 2014

*dekhe.n to pahale kaun mite usakii raah mein *
**baithe hain shart baandh ke har naqsh-e-paa se ham

hey/meem **

Re: Bait Bazi -May 2014

dekh to dil ke jaan se uthta hai
ye dhuaN sa kahaN se uthta hai - Meer

BTW - Anyone seen the trailer for the Meer movie ?

Hay/ ye

Haroon Ahmad
DET - U.S. Central Command
www.facebook.com/centcomurdu

Re: Bait Bazi -May 2014

yuun us ke bichhar jaane pe aansuu na bahaao
**manzar ko taras jaayengii bhiigii huii aankhen

alif/noon**

Re: Bait Bazi -May 2014

kon kehta hai moat aye gi to mein mar jaon ga
mein to ik qatra hon samandar mein utar jaon ga.