kyu?? batein kerna mana hai yehan?? eww mujay nehi pata tha
ye jannaT mubarak rahey zaahidoN ko
keh maiN aap ka samana chahata huuN
Next: noon*
hmmm...last page :(
Na ji bhar ke dekha na baat ki
barri aarzu thi mulaaqaat ki
"ye"
na deed hai na sukhan an na haruf hai na pyaam
koi bhi heela-e-raskeen nehi aur ass hai bohet
umeed-e-yaar nazar ka mazaj derd ka rang
tum aj kuch bhi na poocho kay dil udhaas hai bohet
aap sab kay choice bohet achee hai ....Allah hafiz all
i meant heela-e-taskeen**
terey Ghum ko jaaN ki talaash thi terey jaaN-nisaaR chale gaye
terii raah meiN kartey they sar talab sar-e-raah-guzar chale gaye
Next: ye*
cant we open a new one or?
Am not sure
YuN be'sabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
wo ghazal ki sachi kitaab hey usey chupke chupke parrha karo
"woa"
woh agar mil kay bicharta to koi baat bhi thi
jisay paya hie nehi ussay khona kaisaa..
aap sure nehi main ne new page ka agaaz bhi ker diya
pehley isey to finish kar leiN:)
Is sey pehley ke rut badal jaaey
apney saarey gulaab ley jaana
"alif"
apnay ChiraaG auroN kay ghar meiN jala diye
yooN Roshnii say pyaar, kiyaa hay kabhi kabhii
Next: ye*
Yaad ke be'nishaaN jazeeroN sey
teri aawaaz aa rahi hey abhi :(
"ye"
yeh Zindagi kay Niraalay Mausam humain tou ab tak samajh na aae
jo yaad-gaar-e-Hayaat thahrey, they ab tak wuhi wabaaL Lamhay
Next: ye*
:)
Ye keh ke dil ney merey hosley barrhaaey heiN
ghamoN ki dhoop ke aagey khushi ke saaey heiN
"noon"
NahiN tera nashay-man Qasray sultani kay gumbad par
Tu hay shaheeN baseraa kar paharoN kii chitanoN par
Next: Re*
RaaheiN simat simat ke nigahoN meiN aa gaeeN
jo bhi qadam uttha, wohi manzil-numa huwa
"alif"
Azaad fikr sey hooN, uzlat meiN din guzaarooN
duniya kay ghum ka diL se kaanTa nikal geya ho
Next: wao*
hum aseeroN ke leeye yuN bhi qayaamat hey bahaar
chaandni ho to ye zakhm aur ubhar aatey heiN
"noon"
na to maiN kisi ka habiib huuN, na to maiN kisi ka raqiib huuN
jo bigar geya wuh nasiib huuN, jo ujar geyaa wuh dayaar huuN
Next: Noon*
nao'kheiz bahaaroN ki tabaahi ka qissa
sookhi hui shaakhoN pe likha huwa dekha
"alif"
Aankhon meiN raha DiL meiN Utar kar nahiN dekha
Kashti kay musafir nay samudar nahiN dekha
Next: Alif*