Bait Bazi - LXIII (merged)

[QUOTE]
*Originally posted by Dur-e-Suman: *
well apna apna sochnay ka andaz hai
[/QUOTE]

Oops, you forgot to write a sheir :)

mein huuN iss daur ka SuQraat mujhay zehar na do
mein tou ehsaas ki talkhi say hi mar jaoun ga

Next Alif*

mujse bohet qareeb hai tu phir bhi ai munir
perda sa koi meray teray dermiyan to hai..
songs download ker rehi hoon isslieh apaki baitbaazi main shirkat nehi ker sakti sowie :)

**
Ye gard-e-baad-e-tamnna meiN ghoomtey huwe din
kahaaN pe jaa ke rukeiN ge ye bhaagtey huwe din
phir aaj kesey kattey gi ye pahaarr jesey raat
guzar gaya hey yehi baat sochtey huwe din

"noon"

nahiN minnat-kash-e-taab-e-shaniidaN daastaaN meri
Khaamoshii guftagu hay, bezubaani hay zabaaN meri

Next: ye*

**
Ye nahi ke dab gai hey kaheeN gard-e-roz-o-shab meiN
wo khalish mohabbatoN ki, wo kasak rafaaqatoN ki

"ye"

aaaaaaaah meri fav ghazal mil gayi mujay :) aap logh kehan tak ponhchay??

Ye zaraa zaraa si baat par tarhaN tarhaN ke azaab kiuN
jo kisi sey bhi khafaa na ho mujhey us khuda ki talaash hay
mujhey lagzishoN pe gharri gharri koi tokta hay baar baar
jisey kar ke dil ko dukh na ho mujhey gunaah ki talaash hay

Next: ye*

**
YahaN ik lamhey ke parrao meiN merey sarey phool jhulas gaey
ab jahaaN talkhioN ki tappish na ho mujhey us fiza ki talaash hey
mujhey deikh kar jo ik nazar merey sarey dard samajh sakey
jo is qadar ho chaara-gar mujhey us nigaah ki talaash hey

"ye"

aamal ji aap ne kafi der laga di sher talash kernay main :P

aap commentary ki bajaaey muqaabley meiN kiuN nahi aatieN?:)

ye dustooR-e-wafa sadiyoN say raa`ij hay zamanay mai
sadaa-e-qurb di jiN ko unhi ko door daikha hay

Next: ye*

agar saray likhnay walay hie hon gey to commentary kon karay ga??

**
Ye kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaaney kaho
kabhi to uske bahaaney bhi suna karo us sey

"ye"

*

Woh dil ka bura na baywafa tha
bus, mujh say yonhi bichar gya tha
hum dono ka dukh tha ek jasa
ashsas magar juda juda tha !

A

welcome chand chehraa (f)..aap maahroo hain na??

[QUOTE]
Originally posted by chand_chehra: *

opps

unkii AaNkhoN ne Khuda jaane kya kiyaa jaadu
ke tabiiyat merii maaiL kabhii aesii to na thii

Next: ye*

[QUOTE]
*Originally posted by Dur-e-Suman: *
welcome chand chehraa (f)..aap maahroo hain na??
[/QUOTE]

thanko ishna :) gi main mahroo ho aur yaha batain nahi hamay
utha kar bahir phank daygi "admin"

Beautiful:k:

** Ye aarzu bhi barri cheez hey magar ham'dam wisaal-e-yaar faqt aarzu ki baat nahi

“ye”