Bait Bazi - LXIII (merged)

Nikla thaa apnay ghar say sukoon kee talaash main
dekha tau jangaloun main thayy melay laggay huvay

Next: YEy

**Yeh saaghar, sheeshay, laaal-o-gohar
Saalim hoon to qeemat patay hain
Yoon tukray tukray hoon to faqat
Chubtay hain lahoo rulatay hain

Yeh

Yeh alag baat kay sharmindah-e-Taabeer naa hon
warna har zehn main kuch Taj Mahal hotey hain:-(

NEXT: yEY

***
ye khatm-e-wasal ka saMa hai raiegaaN na samjh
kay is kay badh wohi doriyO ka shehra hai

ye

Yaad jiss waqt Madeenay kee fizaa aati hay:teary3:
Saans letaa hoon tau jannat kee hawaa aatii hay:flower1:

NEXT: *YeY

yaa to mit jaaiiye yaa mitaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye

(ye)

**
Ye judaaiyoN ke reastey barri door tak gaey heiN
jo gayaa phir naa aaya, meri baat maan jaao

"wao"

*

Woh kon logh thay unka pata to karna tha
mere laho main naha kar jinhay nikhrna tha

A

aarzo thei k hum is k sath sath chalaiN
maGaR wo shakas tu rasta badalta jata hai

“ye” :teary3:

Ya-Rab Shab-e-WissaL ko itna daraaZ kar
Taa-Hashr MasjidoN meiN Azaan-e-Sehar na ho

Next: wao*

**
Wo mujh sey pooch raha tha bataao kesa laga
tum pichley zakhm ko choro yeh ghao kesa laga!
ajab sawaal kiya aaNdkhiyoN ney pattoN sey
shajar sey toot kar girna bataao kesa laga!

"alif"

**Woh heelaghar jo wafa juu bhi hai, jafa khuu bhi
Kiya bhi faiz to kis butt se dostana kiya

Uljhain gay kai baar abhii LafZ say Mafhoom
Saada hay buhat wuh na,meiN asaan buhat huuN

Next: Noon*

mujay yeh baitbaazi kum aur competition ziada lagta hai

humain tou Bait bazi hi lagtii hay:p

nice one:k:

**
Nikla wo baar baar ghattaaoN ki ott sey
us sey to maamla faqt ik nazar ka tha

“alif”

Bait Baazi IS a competition, I guess :)

Thanks:)

aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaae kahiN

Next: noon*

well apna apna sochnay ka andaz hai

**
Nahi to aazma kar dekho, kesey badalta hey
tumhaarey muskuraaney sey dil-e-na'shaad ka mosam
kaheeN sey us haseeN aawaaz ki khushbu pukaarey gi
to us ke saath badley ga dil-e-barbaad ka mosam

"meem"