Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

naam likhtay hain tera likh k mita detay hain
hum yonhi dil ko mohabbat kisaza detay hain

"noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na Fana Meri Na Baqa Meri, Mujhe Ay Shakeel Na Dhoondeay
Main Kisi Ka Husn-e-Khayal Hoon, Mera Kuch Wujuud Adam Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

nayay zamanon ka karb orhay,zaeef lamhay nidhaal yadain
tumharay khwaboon k band kamron me laut ayen to laut ana

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Achey Shairon Ki Parakh Tum Nay Hi Sikhlaai Mujhey
Apney Undaaz Se Kehna Bhi Tum Hi Se Seekha

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

agaaah apni maut say koi bashar nahi
samaan hai soo baras ka, pal ki khabar nahi

Re: Bait Bazi -- July 2007

Nishtar Sa Utar Jaway Hain Seenay Main Hamaray
Jab Maathay Pe Bal Daal Ke Tum Baat Karo Ho

'Wow'

Re: Bait Bazi -- July 2007

woh chaand ban k meray sath sath chalta raha
main uss k hijr ki raton me kab akeli hui

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh To Hum Hain, Jo Khar-O-Khas Mein Hain
Manzil-E-Gul To Khaar-O-Khas Mein Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

na tera qurb na baadaa hai kia kia jayay
phir aj dukh bhi zyada hai kia kia jayay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Inaayatein Yeh Nawaazishein, Merey Dard-E-Dil Ki Dawaa Nahin
Mujhey Us Nazar Ki Talaash Hai, Jo Adaa Shanaas-E-Wafa Na Ho

'Wow'

Re: Bait Bazi -- July 2007

wo teray hijr k din wo safeer sadiyon kay
tu un dinon main kabhi dekhta mera chehra

Re: Bait Bazi -- July 2007

O Pichhli Rut Ke Saathi Sun
Ab Ke Baras Main Tanha Hoon

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

na shanasayi k mausum ka asar to dekho
ayeena khaal-o-khad-e-ayeena gar ko tarsay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Aik Shub Ki Mulaqaat Bhi Ghanimat Hai
Kise Hai Kal Ki Khabr Thori Door Sath Chalo

'Wow'

Re: Bait Bazi -- July 2007

woh aj bhi sadyon ki musafat pay khar ahai
dhoondha tha jissay waqt ki deewar gira kar

"ray"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Raaz Tera Chhupa Nahi Sakta
Tu Mujhe Apna Raaz-Daan Na Bana

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

ab to wehm o guman main bhi rehne laga hai tu
ajab saman hai k barishon main bhi barasne laga hai tu !!

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Wo qehat dosti ka parra hey ke in dino
jo mukura ke baat karey aashna lagey
tarq-e-wafa ke baad bhi uski ada Qateel
mujh ko sataey koi tu usko bura lagey
**
"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

yaaden tere khaloos ki dasti hain aj bhi
ruk ruk k baar baar ankhen barasti hain aj bhi.

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye tou mohabbatoN ki maang thi jo tujhey zindagi ka laqab diya
is sodey k ewaz sanam meiN ney kab maanga tha samar koi

Ye''