Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Ye fakhar saadgi par ye aetebaar har kisi par
tujhey zindagi ney shaed abhi kuch nahi sikhaya
**
By: Amal
"Alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007


agar talaash karuuN koi mil hi jaa'yegaa
magar tumhari tarha kaun mujhe chahe'gaa
tumheiN zaruur koi chahatoN se dekhe'gaa
magar vo aaNkheiN hamari kahaN se laaye'gaa

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

uss pal bhi dil pay teri tamanna jari rahi
jab shaehar me har aik ko apni pari rahi

"yey"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Jo Aanso-on Main Ghuroor Hai
Yeh Mohabatton Ka Futoor Hai
Tera Aasmaan Qareeb Tha
Mera Aasmaan Tou Duur Hai..

'Ye'

(Farhat Abbas)

Re: Bait Bazi -- July 2007

yonhi mausum ki ada dekh k yaad aya hai
kiss qadar jald badal jatay hain insan jana

Re: Bait Bazi -- July 2007

Acha Hai Dil Ke Paas Rahay Paas-Baan-e-Aql
Lekin Kabhi Kabhaar Isay Tanha Bhi Chhor De

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh to mumkin hai k wo sath rahay baat na ho
yeh bhala kio ho wo baat karay dil na dukhay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye Baatain Jhooti Baatain Hain, Ye Logon Ne Phelai Hain
Tum Insha'Jee Ka Naam Na Lo, Kia Insha'Jee Sodai Hain

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

noor behta paogay rag-ejan me zain
atish-e-ishq me hasti ko jala k dekho

Re: Bait Bazi -- July 2007

Wo Iss Kamal Se Khela Tha Ishq Ki Baazi
Main Apni Fatha Samajhta Tha Maat Honay Tak..

'Kaaf'

Re: Bait Bazi -- July 2007

khushi mili to kayi dard mujh say roth gayay
dua karo main phir say udaas hojaon

Re: Bait Bazi -- July 2007

Nazar maiN kaif na THa' dil maiN aks e yaar na THa
Mera junooN kabhi SHarminda e bahaar na THa

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Aahat thi khaab ki ya dhoka tha nazar ka
ik pal ko sakoot toot gaya dil ki qabar ka
aankhoN ka sehan bheeg gaya yaadoN ki nami sey
kuch bhi to sila nahi mila ashqoN pe jabar ka

**
"Alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Bohat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Re: Bait Bazi -- July 2007

Wo Ashk Ban Ke Meri Chashm-e-Ter Main Rehta Hai
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Main Rehta Hai..

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yaadoN ki jaReN phooT hi paRti haiN kaheeN se
dil sookh bhi jaata hay to banjar nahi hota

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ibtida-e-Ishq Hai Rota Hai Kia
Agay Agay Dekh Hota Hai Kia..

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

ayay ho to ab nayay khwab-o-khyaal do
likhon wohi main lafz puranay kaha talak

Re: Bait Bazi -- July 2007

khudh ko hasti say tu beygana bana sakti hoon main
bholnay walay tujhay bhi kya bhula sakti hoon main

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na Janay Kion Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahoon To Kuch Aisa Udaas Hoon Bhi Nahin

'Noon'