Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

warna to bhool bhaal chukay hotay ab talak
woh to teray khayaal ki taqat bari rahi

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ya'Rub Dil-e-Muslim Ko Wo Zinda Tamanna De
Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De..

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
YaaroN ki mohabbat ka yaqeen kar lia meiN ney
haathoN meiN chupaya hua khajer nahi daikha
**
"Alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Abhi Muhabbat Ka Ism-e-Azam, Labon Pe Rehnay De Jaan-e-Mohsin
Abhi Hai Chahat Nai Nai Si, Abhi Hain Jazbay Jawan Jawan Se..

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh ajj kesi thakan ka aehsas hay
jesay jagee hoi barso ki piyas hay
nikal pao teray khasar say kesay
door reh kar bhi jesay tu bohat pass hay
khari rehti hoon kyoo dehleez par may
shaid ub bhi teray lot anay ki aas hay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Ghazi Ye Teray Pur-Israr Banday
Jinhain Tunay Bakhsha Hai Zoq-e-Khudai

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007


ye teri judaye ka gham nahi kay ye silsilay to hai roz kay
teri zaat is ka sabab nahi , kaye din say yohi udas hoo'n

Re: Bait Bazi -- July 2007


na ganvaao naavak-e-neem-kash, dil-e-reza reza ganvaa diya
jo bache hai.n sang samait lo, tan-e-daag daag lutaa diya

Alif

Re: Bait Bazi -- July 2007


inhi rastoo-n nay jin par kabhi tum thay sath mery
mujhay rou rouk pocha tera husafar kaha hai

Re: Bait Bazi -- July 2007


yohi besabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao

Re: Bait Bazi -- July 2007


woh safeed phloo'n si ek dua meray sath sath rahi sada
ye isi ka faiz hai barha mai bikhar bikhar ke sanwar gya

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Usey ye dar ke sitaarey na guftugoo sun leiN
mujhey ye fikr ke sooraj nikalney waala hey
**
"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007


ye kya kay har kisi say bayaa'n dil ki haltain karni
faraz tujh ko na askeen muhabatin karni

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007


ye meri kitab-e-hayaat hai isay dil ki ankh say parh zara
mai warq warq teray samnay, tery robar teray pas hon

Re: Bait Bazi -- July 2007

na mil saki mohabbat teri hume,
fir bhi tujhise mohabbat yeh dil karta tou hai,

Re: Bait Bazi -- July 2007

dia.. em sorry.. but URDU main 'fir' nahi hota.. 'PHIR' hota hai.. Please URDU theek se likha karain.. Please donot mind.. :(

Still,

Yunhi Be-Sabab Na Phira Karo, Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo
Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai, Usay Chupke Chupke Parha Karo

'Wow'

Re: Bait Bazi -- July 2007

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

Re: Bait Bazi -- July 2007

hum he wafa shikan sahi aur hum he bewafa
tum to wafa shuaar thay tum q badal gayay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yahan Ik Lamhey Ke Parrao Mein Merey Sarey Phool Jhulas Gaey
Ab Jahaan Talkhion Ki Tappish Na Ho Mujhey Us Fiza Ki Talaash Hey

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh dard kam to nah hai k to hamain na mila
yeh aur baat hai k hum bhi na hosakay teray