Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

na samjho tum issay shor-e-baharan
khizan patton main chup k ro rahi hai
hamaray ghar ki deewaron pay nasir
udaasi baal kholay soo rahi hai

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Kash-Makash Alag Hai Ke Kis Kash-Makash Main Hoon
Aata Nahi Samajh Main, Buhat Sochta Hoon Main..

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

na janay konsa asaib dil main rehta hai
k jo bhi thehra wo akhir makaan chor gaya

Re: Bait Bazi -- July 2007

Issi Andaaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge Tou Yaad Aaonga..

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

apnay qatil ki zahant say pareshan hon main
roz ek maut nayay tarz ki ijaad karay

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yaheen Se Seekhay Thay Aadaab-e-Bandagi Mainay
Yaheen Jabeen Thi Kabhi Aur Yaheen Zameen Thi Kabhi

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yun bhi hoga wo muJhe dil se bhula dega magarr

Ye bhi hoga khud usee mein ik khala reh jayega

Alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

Iss Saadgi Pe Kaun Na Mer Jaye Ay Khuda
Lartay Hain Aur Haath Main Talvaar Bhi Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

uss nay apni sari qeemti cheezain
uthaa kar sanbhaal lin
siwayay meray...

"yey"

Re: Bait Bazi -- July 2007

I doubt if we can post 'Short Poems' here..

any ways..

Yeh Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo Batain Na Banao Insha Jee
Yeh Sheher Tumhara Apna Hai, Isay Chhor Na Jao Insha Jee..

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh charagh apnay lye rehnay day
teri ratain bhi to bay noor hain dost

"tay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Tum Ko Dekha To Yeh Khayal Aya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Saaya

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

aey hasil-e-khuloos bata kia jawab don
dunya yeh pochti hain main kio udaas hon

Re: Bait Bazi -- July 2007

na janay kon sa aaseb dil main basta hay
k jo b aata hay aakhir makaan chor gia

Re: Bait Bazi -- July 2007

aaj to bay sabab udass hai ji
ishq hota to koi baat bhi thi

Re: Bait Bazi -- July 2007

is tarha ji bichro gay aik umar bhatko gay
barishen jalain gi chandni main sulgo gay

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh bhi mumkin hai kisi roz na pehchano ussay
wo jo har baar ek naya bhais badal laita hai
laakh mujh say kaha tha meray yaron nay wasi
ishq darya hai jo bachon ko nigal laita hai

Re: Bait Bazi -- July 2007

ye or baat k meri ana jata na saki
mujhe junoo.n tera her juno.n say barh k raha

Re: Bait Bazi -- July 2007

ek taraf zamana tha
ek taraf thi sari main
ishq main bikharnay tak
hosla na haari main

Re: Bait Bazi -- July 2007

nahi miltay ho mujh say tum to sab hamdard hain meray
zamana mujh say jall jaye agr tum milnay aajaao