Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

really sorry ye sher galti se yahan likh dia.

**lazawal khusboo ka silsila jo chal nikle,
surmae si shaamon main raat k ujaalon main.

-noon-
**

Re: Bait Bazi -- July 2007

Nahi Nahi Humain teri Justuju Bhi Nahi
Hum Tujhay Bhool Gaye Teri Khushi Ke Leay

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye waqt waqt ki baat hey koi aur hey ab nigaah meiN
tere laoh-e-dil pe kabhi mera naam bhi thaa likha huwa

"Alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ik yeh bhe mas'aala hai mere zindage kay sath
Main hoon kisi kay sath , mera dil kisi kay sath

Re: Bait Bazi -- July 2007

Hum Wo Siaah Naseeb Hain Tariq Ke Sheher Main
Kholain Dukaan Kafn Ki, Log Marna Chhor Dain

'Noon'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Najanay kon si manzil ki simt hum hain rawaan
Ghari to kia kay yahan pal ka aitebar nahi'n

"noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Nai tarha say nebhanay ke dil nay thaani hai
Wagarna us say mohabaat bohat purani hai

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye Kia Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Halatain Kerni
Faraaz Tujh Ko Na Ayeen Muhabbatain Kerni

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yay kuch din hain keh yaad us ko her ek shaam kerna hai
Phir apnay dil ki basti main usay gumnaam kerna hai

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Ye udaasiyoN ki raateiN chalo jaag kar hi kaateiN
jo chiraagh bujh chukey heiN, ab ky aunheiN jalaana**

"Alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Is tashngi kay sath keh aay gi ab bahar
Hum nay tamam umer bita di khizaan k sang

"gaaf"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Guzrey huwey waqt ke nishaan sabt heiN abhi bhi
rastoN ki yaad'daasht bhalaa itni zaheeN hey kiuN
"Noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na meray qlam say likhi gai, na meri zaban say ada hoi
Jo nazer say kehnay ki bat hai ksi hrf main na samay gi
Koi phool chunta hai kis liyay, koi dhool hota hai kis liyay
Yay waqt waqt ki bat hai, tujhay zindgi batay gi

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yehi andaaz-e-diyanat raha to kal ka taajir
barf ke baat leeye dhoop meiN beittha ho ga

"Alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Apnay kirdar k baray main bhi soocha hota
Meray kirdar pay jab waar kia hai tu nay

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

*Ye kis jurm ki saza hey ke bahaar ab ke saal
kisi chaman sey mulaqaat par aamaada nahi
*

Arey ye to sheir ban gaya. Hey na? :)

Re: Bait Bazi -- July 2007

ye zameeN soO'ee thei neend maiN yahaN la k muj ko basa gaye wo chamakti dhoop ki shaal peR meRay dil k phool saja ga'ey "ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yay dil ki rah pay urta ghubar kis ka hai
Wo ja chuka hai to phir inteza r kis ka hai

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

**

Ye kis jurm ki saza hey ke bahaar ab ke saal
kisi chaman sey mulaqaat par aamaada nahi

ye kis safar ki thakan hey paaoN pakrrey huwey
ke kisi manzil ki taraf jaaney ka iraada nahi**

lagta hey aap log "ye" "ye" kar ke mujh sey poori ghazal hi likhwa lo ge yahaN :)

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yay Khuda ki dain hai keh usi ka naam naseeb hai
Jisay tu nay chaha mil gaya, jisay main nay chaha mila nahi'n

"noon"

lijiyay main nay "yay" ki jaga ab ap ko "noon" day diya hai :)