Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

Najanay hum shana-sai kay kis aalam main rehtay hain
Tumharee ajnabeayt say tumhain pehchan laytay hain

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Kiya sab say bayan Dil ki Halatain karni
FaraZ Tujh ko naa Aain muhabbatain karni

Yay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ya tujhay rakhtay hain ya tri khwahish dil main
Aisay kahan duniya main chahnay walay hoay log

"gaaf"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Gaey dinoN ka suraag ley kar kahaN sey aaya kahaN gaya wo
ajeeb maanoos ajnabi tha, mujhey to heyraan kar gaya wo

Wao

2 Likes

Re: Bait Bazi -- July 2007


vo gul_faRosh kahaaN ab gulaab kis se luuN
nahiN rahaa meraa saaqi shaRaab kis se luuN

"noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Nikli thi mudatoon main mulakat ki sabeel

Tashna kahoo yay kon sa moka gilay ka tha

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

*Ankhon Mein A kar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
Palkon Pe Koi Khowab Perone Nahi Diya *

alif again

Re: Bait Bazi -- July 2007

Apni batoon main kisi or k hawalay rakhna
Mujh say bichray ho, zara khud ko sanbhalay rakhna

again "alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

ishq karnay kay bhi kuch aa-daab hotay hain
khuli ankhoun main bhi kuch khuwab hotay hain
har koi roo kay de-khaie yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...

Noon

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na jagnay ki himat na neend say aagahee
Dil ka sakoon jaisay mehman ho raha hai

" yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh dhoop chaon dekho yeh subah-o-shaam dekho
sab kyon yeh ho raha hai ALLAH janta hai


yay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yay tasali hai keh hain nashad sabhi
Main akela hi nahi hain barbad sabhi
sab ko dawa-e-wafa sab ko yaqee'n
Is adakari main hain ustad sabhi

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yea chand Lamhe jo guzre tere rafaqat main **
**na jane kitne bars mere kaaam aaaien gay



yay

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yay aik abr ka tukra kahan kahan barsay
Tamam dasht hi piyasa dikhai deta hai

again "yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

yoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko



WoW

Re: Bait Bazi -- July 2007

Wo mojzaat ki had tk pohonch gaya hai
Lafz koi bhi likhoon us ka ism banay

"yay"

Re: Bait Bazi – July 2007

**U took to long to find out shiar wid WOW :smiley: **

**Yoon jo baithe ho bay-taulad say **
kaya samajhte meri zubaan nahien?
**** **

“next start wid question mark :-D” **

Re: Bait Bazi – July 2007

Its not like that, i was in other room. and again now i came and saw this.
i think its questionmark so i’m taking the last letter “noon”

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na phooloon ki mala, na kaliyoon ki barish
Khas-o-khar hi hain mohobbat ka hasil

"laam"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Chupana chahte hain un se dil ka haal hum lekin,
Hamare ansuoon main gham hamare bol parte hain.

-noon-