Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**sholaa thaa jal-bujhaa huun havaayen mujhe na do
main kab kaa jaa chukaa huun sadaayen mujhe na do

daal/vao**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Dil dharakta nahi sulagta hai........
Woh jo khawahish thi aabla hai mujhay

meem/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**muntazir kab se tahayyur hai terii taqariir kaa
baat kar tujh par gumaan hone lagaa tasviir kaa

Kaaf/alif**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay
Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay. *
*

seen/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

ye meray sath kesi roshni hay
kay mujh say raasta dekha na jaye

jeem/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

Hey/vao**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay

alif/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Jeem/noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz,
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

alif/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**ye merii Gazalen ye merii nazmen tamaam terii hikaayaten hain
ye tazkiren terii lutf ke hain ye sher terii shikaayaten hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**kyaa biit gaii ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuun nahin dete

daal/ye**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,

kaaf/noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

***Kabhi kabhi yun bhi jhalak parti hain ankhein
udaas honay ka koi sabab nahi hota....

hey/alif***

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,

kaaf/noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

kam nahi tam'ay ibaadat bhi hirs e zar se
faqr to wo hai jo deen na duniya rakhay

re/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay

te/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqin ke bure ham hain dosto

daal/vao**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

yeh umr gurezaaN kahiN tehrey tou yeh janooN
har saans meiN mujh kou yehi lagta hai key tum hou

hey/wao