Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Saal e Nau Mubarak :slight_smile:

Cheti cheti karo Poetry walo.. idhar bhi chakar laga liya karo :snooty:

Na koi ranj ka lamha kisi ke paas aae
Khuda kare naya saal sab ko raas aae

alif / ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Change Change Change… rules main ab change.

This month (or for first two weeks) Bait Bazi will only contain ashaar of Ahmed Faraz :rule:

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Ahmed faraz kyun, fakhira batool kyun nahin. :emmy:

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**aaj dil khol ke roye hain to yuun Khush hai 'Faraz'
chand lamhon kii ye raahat bhii barii ho jaise

jeem/ye**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

ek din main hi poetry khatam hojati unn mohtarma ki to

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Junoon e jurm e wafa baar baarr hum ne kia
Teri nigaah pe kiyun aitbaar hum ne kia

kaaf/alif

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

ab key rut badli tou khushboo kaa safar dekhey gaa koun
zakhm phooloun ki tarhaN mehkey geiN par dekhey gaa koun

kaaf/noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

kitna aasan tha tere hijr main marna janaN
phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate

jeem / ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**juz tere koii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaan hai magar ai dost puraane mere

meem/ye**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..

alif

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**aa ke ab tasliim kar lein tuu nahin to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bevafaa koii nahin

noon**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Na tera qurb na bada hai kia kya jae
phir aaj dukh bhi ziada hai kia kya jae

jeem/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere *
*

meem/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

ye meri ghazlan ye meri nazmen, tamam teri hikayaten hain
ye tazkire tere lutf ke hain, ye shair teri shikayaten hain

he/noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

*Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi *

noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

**niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aaii to so lenge

laam/ye**

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

*Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
*

noon

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Na shab o roz hi badle na haal acha hai
kis birahman ne kaha hai ke ye saal acha hai

he/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - January 2014 (Ahmed Faraz Ashaar only)

kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

alif