Bait Bazi (February 2015)

Re: Bait Bazi (February 2015)

na-shanasi dehar ki tanha humain karti gaiee
hotay hotay hum zamanay say juda hotay gaye

Re: Bait Bazi (February 2015)

*yaar ko ragbat-e-agyaar naa hone paaye *
**gul-e-tar ko havaz-e-Khaar naa hone paaye

pey/ye**

Re: Bait Bazi (February 2015)

Yeee aarzooo thi tujhey gul k ru-ba-ru kertay
hum aur bul-bul-e-baytaab guftugu kertay

kaaf/yeey

Re: Bait Bazi (February 2015)

kal per hi rakho wafa ki batein
me aaj bohat bujha hua hun
hy/noon

Re: Bait Bazi (February 2015)

hum buray, hameen tasleem magar
tum kehtey ho tu bura lagta hai

hay/yeey

Re: Bait Bazi (February 2015)

hazar log hazar baten
swal bas aik jawab tum
te/meem

Re: Bait Bazi (February 2015)

majabuuriyon ne ghar se nikalane na diyaa
**duniyaa samajh rahii hai meraa ghar nahin koi

kaaf/ye**

Re: Bait Bazi (February 2015)

kal raat main tanhaai main dil khol kay roya
phir yun huwa, deewar say baazo nikal aaye

Re: Bait Bazi (February 2015)

iss dukh bhari hayaat ki mehromiaan na pooch
kia kia tumheen bataoon k kia kia na ho saka

seen/alif

Re: Bait Bazi (February 2015)

*ab to le-de ke vahii shaKhs bachchaa hai mujh mein *
**mujh ko mujh se judaa kar ke jo chhupaa hai mujh mein

meem/noon**

Re: Bait Bazi (February 2015)

mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah

tooEnn/Haay

Re: Bait Bazi (February 2015)

*haan talkhii-e-ayyaam abhii aur baregii *
**haan ahal-e-sitam mashq-e-sitam karate rahenge

rey/ye**

Re: Bait Bazi (February 2015)

***Ye aur baat hai k main nigaah me hu sabhi k aaj,
Kaun jaane kabhi parchaai bhi hasil na ho...

hey/wao***

Re: Bait Bazi (February 2015)

wesay to hijr main usko bhi nahi koi malaal
wesay to main bhi pareshaN nahi dekhnay main

Re: Bait Bazi (February 2015)

main jahaan tum ko bulaataa huun vahaan tak aao
**merii nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao

alif/vao**

Re: Bait Bazi (February 2015)

aao kuch der december ki dhup me bethen
yi fursaten hamein shayd na agly saal milen

meem.noon

Re: Bait Bazi (February 2015)

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota,
Daboya mujh ko honay ne, na hota main to kya hota.

hay.alif

Re: Bait Bazi (February 2015)

*honthon pey aa rahaa hai koi naam baar baar *
**sannaaton kii tilism ko toregii aah phir

pey/rey**

Re: Bait Bazi (February 2015)

Paani paani ker gayi mujh ko qalandar ki yeh baat,
Tu jhuka jab ghair ke aagay, na tan tera na man.

Meem/Noon.

Re: Bait Bazi (February 2015)

*maikade ke mor par rukatii hui *
**muddaton kii tashnagii thii main na thaa

tey/alif**