Bait Bazi (February 2015)

Re: Bait Bazi (February 2015)

Hum sai badal gaya wo nigaheen tu kia howa
Zinda hain kitney loog mohabbat keyee baghair

bay/ray

Re: Bait Bazi (February 2015)

Jo hum nay daastan apni sunayee
aap kyun roye

Re: Bait Bazi (February 2015)

*baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii *
*jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii *

*le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar *
**beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii

tey/ye**

Re: Bait Bazi (February 2015)

tayrey hotey howey mehfil meen jalatey heen chiragh
loog kia sada hain soraj ko dekhatey hain chiragh

seen/ghain

Re: Bait Bazi (February 2015)

*sab kii puujaa ek sii, alag alag har riit *
**masjid jaaye maulavii, koyal gaaye giit

gaaf/tey**

Re: Bait Bazi (February 2015)

geeley kaghaz kee manind ho gayee hay zindagee apnee
koi likhta bhee nahee koi jalata bhee nahee

noon/noon

Re: Bait Bazi (February 2015)

*nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa *
**kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gaya

gaaf/alif**

Re: Bait Bazi (February 2015)

ik baat kahoon gar suntay ho
tum mujh ko achey lagtey ho
kuch chanchal se kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho

hay/wow

Re: Bait Bazi (February 2015)

wajh-e-taskeen bhi hay Khayaal uska
hadd say baRh jaye to giraaN bhi hay

Re: Bait Bazi (February 2015)

k wisaal-e-yaar hota ...
ager or jeete rehte tu yehi intazar hota.......

Re: Bait Bazi (February 2015)

https://encrypted-tbn0.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcQ72gt_Og3j2pzmANXw8Xu8I9SHJ8YSyYaTojnlKaT503Nz4ybZ

meem ye

Re: Bait Bazi (February 2015)

mansoob thaay jo loog meri zindagi k saath
aksar wohi miley hain bari be-rukhi k saath
youn tu main hans para hoon tumharey leyee magar
kitney sitarey toot parey eik hansi k saath

seen/hay

Re: Bait Bazi (February 2015)

http://www.urdudesignpoetry.com/wp-content/uploads/2014/06/Suno-tum-ishq-ko-pakarh-lao.jpg
hey/noon

Re: Bait Bazi (February 2015)

***Nahe masroof mein itna ke wahaan ka raasta bhool jaun
Koi jab muntazir hi na ho, tau jaana acha nahe lagta ...

laam/alif***

Re: Bait Bazi (February 2015)

lai hayaat aaye qaza lay chali chaleey
na apni khushi aaye na apni khushi chaleey

chay/yeey

Re: Bait Bazi (February 2015)

yaadon ki booChhaRon say jab palkain bheegnay lagti hain
soondhi soondhi lagti hay tab, mazi ki ruswaee bhi

Re: Bait Bazi (February 2015)

bay khabar anjam-e-naaz main soney waley
raat bhar tujh ko pukara meri tanhiee nay

noon/yeey

Re: Bait Bazi (February 2015)

**Yun toh hur shaam umeedon mein guzar jatee thee
aaj kuch bat hai joh shaam pey rona aaya

Alif**

Re: Bait Bazi (February 2015)

abhi kuch der main Mohsin, wo patthar TooT jayega
main uski sard-mohri par mohabbat maar aya hoon

Re: Bait Bazi (February 2015)

na laina naam eey qasid faqat itna hi keh daina
jinheen tum bhool baithey ho tumheen wo yaad kartey hain

haay/noon