Bait Bazi (February 2015)

Re: Bait Bazi (February 2015)

Aah ko chaahiye ik umr asar honay tak,
Kon jeeta hai teri zulk ke sir honay tak.

Tay/Kaaf.

Re: Bait Bazi (February 2015)

tum apni majburion k qisse zarur likhna wazahton se
jo meri aankhon me jal bujhy hein vo khahshen b shumar kerna

kaaf/alif

Re: Bait Bazi (February 2015)

ek hans purani yadooN ka, beTha huwa kankar chunta hay
tapti hui hijr ki ghaRiyon main, sookha huwa ek talaab hain hum

Re: Bait Bazi (February 2015)

:lajawab:

mohabtein jab shumar kerna to sazshein bhi shumar kerna
jo mere hisse me aai hein vo vo azeyain bhi shumar kerna

kaaf .alif

Re: Bait Bazi (February 2015)

kaabe se butkade se kabhii bazm-e-yaar se
**aavaaz de rahaa huun tujhe har muqaam se

seen/ye**

Re: Bait Bazi (February 2015)

yaadon ki booChhaRon say jab palkain bheegnay lagti hain
soondhi soondhi lagti hay tab, mazi ki ruswaee bhi