Re: Bait Bazi - April
^ waah Bella, bahot Khoob. :)
thanks, its by Parveen Shakir :)
Hazaron khwahishain aisi ki har khwahish pe dam niklay,
bohot niklay mere armaan, lekin phir bhi kam niklay
noon/ye
Re: Bait Bazi - April
^ waah Bella, bahot Khoob. :)
thanks, its by Parveen Shakir :)
Hazaron khwahishain aisi ki har khwahish pe dam niklay,
bohot niklay mere armaan, lekin phir bhi kam niklay
noon/ye
Re: Bait Bazi - April
oh achchhaa...a good she'r indeed.**
naavak andaaz jidhar deeda e jaanaaN hoNge
neem bismil kaii hoNge, kaii be-jaaN hoN ge**
a she'r by: Momin KhaN "Momin"
GAAF yaa YE se
Re: Bait Bazi - April
yun tu Sayad bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho,
tum sabhi kuch ho, batao musulaman bhi ho
hay/wao
Re: Bait Bazi - April
Har mulaaqaat ka anjaam judaai kyuN hai
Ab to har waqt yahi baat sataati hai hameiN - Shahryaar
hay/noon
Re: Bait Bazi - April
Na jenay ki khushi na marnay ka gham hua hai
Bas tery sath chalny ka shouq hua hai
he/ye
Re: Bait Bazi - April
hum muhabbat ke phuul hain shaayad
**koi kaantaa bhii aas paas rahe
rey/ye**
Re: Bait Bazi - April
Yeh kon phir se inhi raston pay chor gya,,
abhi abhi main azab-e-safar se nikla tha,,
tay/alif
Re: Bait Bazi - April
Andhera kitna hi gehra ho, raat’ain kitni kaali hon
Parindey apna apna aashiyana dhoond laity hain
hey/noon
Re: Bait Bazi - April
har chand aaiina hooN par itanaa hooN naqubool
**moonh pher le wo jis ke mujhe roobaroo kareN
kaaf/noon**
Re: Bait Bazi - April
Kisi din tujh sey milney ka bahana dhoond laity hain
Chalo, kuch saal pehlay ka zamana dhoond laity hain
he/noon
Re: Bait Bazi - April
nahi hai na-umeed Iqbal apni kasht-e-weeran se,
zara num ho tu ye mitti bohot zarkhez hai saaqi
seen/ye
Re: Bait Bazi - April
sab kii nazaroN meN ho saaqii ye zaroorii hai magar
sab pe saaqii kii nazar ho ye zaroorii to nahiiN
Noon
Re: Bait Bazi - April
Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum
Guzri hai aaj aisi shanasaai’on mein sham. . !
sheen/meem
Re: Bait Bazi - April
hey/noon
http://1.bp.blogspot.com/-TYGZ4bD4ajs/TkyaD-8jCPI/AAAAAAAAALI/uRn6gX6aJsI/s1600/ds20.jpg
Re: Bait Bazi - April
nigah buland, sukhan dilnawaz, jaan pur soz
yehi hai rakhte safar mir -e- karavaan ke liye
kaaf/ye
Re: Bait Bazi - April
kaaf/ye
Re: Bait Bazi - April
Koi tohfa tumhein dena to tha apni muhabbat ka
Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de rahy hain hum
he/meem
Re: Bait Bazi - April
meri tabahiyon mein tera haath hai magar,
main sab se keh raha hoon muqqadar ki baat hai
hay/ye
Re: Bait Bazi - April
seen/ye
Re: Bait Bazi - April
suna hai zindagi imtehan leti hai Faraz,
par yahan to imtehanon ne zindagi le li
laam/ye