Bait Bazi - April

**Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzrii hai
Talaash meN hai sehar baar baar guzrii hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil,
Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey.

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - April

**kyaa Khabar thii Khalish-e-naaz na jeene degii
ye terii pyaar kii aavaaz na jeene degii

daal/ye**

Re: Bait Bazi - April

Dil main panap rahi hai yehi ik arzoo,
Betaab, hum ko koi milay humsafar kahin

kaaf/noon

Re: Bait Bazi - April

**na kah saaqii bahaar aane ke din hain
jigar ke daag chhil jaane ke din hain

hey/noon **

Re: Bait Bazi - April

Nahin ishq ka dard lazzat se khaali,
Jisay zauq hai woh maza jaanta hai..

hey/ye

Re: Bait Bazi - April

https://fbcdn-sphotos-d-a.akamaihd.net/hphotos-ak-prn2/t1.0-9/s403x403/1496608_570465876368326_409037997_n.jpg
hey/wao

Re: Bait Bazi - April

*Wohi jo kehta tha ishq mein kya rakha hai,
Ek heer ne usey ranjhaa bana rakha hai.. *

he/ye

Re: Bait Bazi - April

**hum par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
dushnaam to nahin hai ye ikaraam hii to hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April

Yaad teri, bass baat teri, fariyaad teri,
Ya rab mujhe kaam koi to aur bhi ho..

he/wao

Re: Bait Bazi - April

**vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa

jeem/alif**

Re: Bait Bazi - April

Wah wah wah !

Re: Bait Bazi - April

Abhi to dil mein halki si khalish mehsoos hoti hai,
Bohat mumkin hai, kal is ka mohabbat naam ho jaye

jeem/ye

Re: Bait Bazi - April

Ye na thi hamari qismat ke visale e yaar hota
agar aur jeetay rehtay, yehi intezar hota
(Mirza Ghalib)

Hay/alif

Re: Bait Bazi - April

aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa

a she'r by: AsGhar GonDvii

Harf-e-**DAAL **yaa **ALIF **se.

Re: Bait Bazi - April

duniya ki mehfiloun say, ukta giya hoon ya rabb
Kya lutf anjuman ka, jab dil hi bujh gya ho? (Iqbal)

Hay/wao

Re: Bait Bazi - April

**Wo raat ka hum-nawa musafir,
Wo tera shaair, wo tera nasir,
Tere galli tak tu daikha tha hum ne,
Phr na jany kidhar gaya wo...

Ajeeb manoos ajnabi tha,
Mujhe tu hairaan kar gaya woh.
**
wao/hay

Re: Bait Bazi - April

Hum kay thehray ajnabi, itni madaraton kay baad
phir banay gay aashna , kitni mulaqaton kay baad

Bay/daal

Re: Bait Bazi - April

*baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii meHfil, kabhii asiii to na thii
*

a she'r by: Bahadur Shah "Zafar"

**TE **yaa **YE **se

Re: Bait Bazi - April

tamam umer ussi kay khayal mei guzri Faraz,
mera khayal jissay umer bhar nahi aya

Alif