Bait Bazi - April

Re: Bait Bazi - April

**Ye jo mere ankho mein halki se nami rehte hain
ye tery bichar jane ka malal he to hain

hey/noon **

Re: Bait Bazi - April

Nigaahe-e-Ishq o Maasti Ma, Vo He Awaal, Vo He Akhaair..
Vo He QURRAN , Vo he Furqaan. Vo He Yaseen. Vo He Tahaah.. (hay)

Re: Bait Bazi - April

Hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnaam,
Wo qatal bhi karte hain to charcha nahin hota.

hay/alif

Re: Bait Bazi - April

*aag ho to jalane mein der kitanii lagatii hai *
**barf ke pighalane mein der kitanii lagatii hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April

her koi apnay chaand se tha mehv-e-guftagu,
main apna chaand dhoodta raha, aur eid guzar gai

gaaf/ye

Re: Bait Bazi - April

*Gair lein mahafil mein bose jaam ke *
**ham rahen yuun tashnaalab paigaam ke

kaaf/ye **

Re: Bait Bazi - April

kaisay laroon muqadma khud se uski yaadon ka,
ye dil be wakeel uska, ye jaan bhi gawah uski

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - April

yaad aayaa thaa bichhaRanaa teraa
**phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa

alif**

Re: Bait Bazi - April

apnay muqadar ki khushiyan tu mil jaingi maula,
woh cheez atta kar, jo meri qismat mai nahi hai

hay/ye

Re: Bait Bazi - April

*hum dahar ke is viiraane mein jo kuchh bhii nazaaraa karate hain *
**ashkon kii zabaanmen kahate hain aahon se ishaaraa karate hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - April

Naadim thha main, na hi main tujh se tha farar,
Phir bhi na di boond bhar chaahat kabhi koi,

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - April

kaam ab koii na aayegaa bas ik dil ke sivaa
**raaste band hain sab kuuchaa-e-qaatil ke sivaa

seen/alif**

Re: Bait Bazi - April

**Ab is ke baad ghane junglon ki manzil hai,
Yeh waqat hai ke palat jayen humsafar mere..

meem/ye **

Re: Bait Bazi - April

Meri Duaoo’n Mai’n Tera Hi Wajoud Rehta Hai,
Iss Sey Barh Ker Mera Aitraaf Or Kia Ho Ga..

gaaf/alif

Re: Bait Bazi - April

gul bhi gulshan mai kahan ghuncha dehen tum jaisay
koi kis moun say karay tum say sukhan, tum jaisay

jeem/ye

Re: Bait Bazi - April

Yeh achcha hai keh buhat achcha nahin hoon mein
Duukhi nahin hoga koi meray mernay kay baad

Re: Bait Bazi - April

badla jo rang aapnay hairat hui mujhay
girgit ko maat de gayi fitrat janab ki

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - April

*kabhii aansuu kabhii Khushii bechii *
**ham Gariibon ne bekasii bechii

bey/ye
**

Re: Bait Bazi - April

bakht se koi shikayat hai na aflaak say hai,
yehi kya kam hai ke nisbat mujhay is khaak se hai

hay/ye

Re: Bait Bazi - April

^ waah Bella, bahot Khoob. :)**

yeh maiN ne maanaa k amn_gustar yeh gesoo-e-pur_shikan nahiiN hai
dikhaa mujhe vo Hayaat kaa ruKh jidhar koii makr o fan nahiiN hai
**
a she'r by: my DAD!

he/ye se aglaa she'r