Bait Bazi - April

Re: Bait Bazi - April

**mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karanaa
gaalii degii duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaayegaa

jeem/alif

**

Re: Bait Bazi - April

Jurtay huay dekha nahi tootay huay dil ko,
gir jaain jo aanso, tu uthai nahi jatay

Jeem/ye

Re: Bait Bazi - April

**jab kabhii teraa naam lete hain
dil se ham intaqaam lete hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi - April

Na kaha karo har bar kay hum chor dain gay tum ko,
na hum itnay aam hain, na ye teray bus ki baat hai

hey/ye

Re: Bait Bazi - April

Ye husn ki adaa hai ya mein nashey mein hun..
Kahin chand bhi chupa hai pardey ki ott mein..

meem/noon

Re: Bait Bazi - April

Mujhse tu poochne aaya hai wafa ke maane.
Ye teri sada-dili maar na daale mujh ko

kkaf/wao

Re: Bait Bazi - April

wo bewafa nahi tha, younhi badnaam ho gya Faraz,
hazaron chahnay walay thay, kis kis say wafa karta?

kaaf/alif

Re: Bait Bazi - April

rahey haste ke is jaltey safar main
tumhare yaad ka saaya bohat hai

Re: Bait Bazi - April

^the letter was supposed to be ALIF or** KAAF**
your sher starts with a ray

Re: Bait Bazi - April

oops, sorry

Re: Bait Bazi - April

:nahi:

Re: Bait Bazi - April

**kyaa bayaan karake meraa royege yaar
magar aashuftaa-bayaanii merii

meem/ye**

Re: Bait Bazi - April

main fana ho gya , wo badla phir bhi nahi Faraz,
meri chaahat say be sacchi thi, nafrat uski

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - April

**ye aankhein hain Tahharii huuii chanchal vo nigaahen
ye haath hain sahame huye aur mast vo baahen

bey/noon**

Re: Bait Bazi - April

Bewafa waqt tha, tum thay, ya muqaddar mera,
baat itni hai kay anjaam judaai nikla

noon/alif

Re: Bait Bazi - April

**aag kaa kyaa hai pal do pal me.n lagatii hai
bujhate bujhate ek zamaanaa lagataa hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April

har eik baat pay kehtay ho tum, kay tu kya hai
tum hi kaho key ye andaaz-e guftagu kya hai

hay/ye

Re: Bait Bazi - April

*ye aur baat kuchh bhii dikhaaii na de sake *
**aankhen khulii huii hon to Gaafil kahaa na jaae

jeem/ye**

Re: Bait Bazi - April

jab main dooba tu samandar ko bhi hairat hui mujh par,
ajeeb shaks hai, kisi ko pukaarta hi nahi

noon

Re: Bait Bazi - April

Nam lay Kar Tara Log Muj Say Poch Rahay Han Kya Kya
Ma Dar Raha Hun Kaheen Muj Say Han Na Ho Jaye