Agar aap bura na manain to fazeelat sahiba/sahab mujhay yoon gumaan hota hai jaisay aap kuch ziada hi khud afreeni ka shikaar hain. Main bhi pehlay khud ko bohat kuch samajhti thi jub Islami taleemaat say pata chala kay apnay aap ko kuch samajhna ya ghuroor karna bohat mana hai to ub ghoroor naheen karti. Allah mujhay aur sub ko maaf karay.
Ghuroor Allah suhanahu wa tala ko zara pasand naheen aur main kitni bewaqoof thi kay itna khud pay ghuroor karti thi.
Aap bhi agar karti hain to baraay meharbani na kya karain.
Aap nain kaha aap ko apnay ghussay pay pura control hai jokay ghuroor walay alfaaz hain kisi insaan ko apnay ghussay pay control naheen aur aap to bohat asani aur jaldi ghussay main aa jati/jatain hain. Agar main tahammul mizaji say kaam naheen lay rahi hoti to abhi hum jungli janwaron ki tarha lar’ rahay hotay aur shaitan ko khush kar rahay hotay aur Allah ko naraz.
Is kay ilawa ap ko apni zubanon pay uboor pay bhi ghoroor hai. Halankay kay kai log to kai zubanon kay mahir hain jub kay aap sirf 3 zuban janti/tay hain.
Gharz yay kay main nain aap ki her baat main ghuroor mahsoos kia hai is wajah say kay main khood aisa hi kerti thi is liaay samajh sakti hoon kay aap ko khud paay bohat naaz hai. Khud pay naaz karna bohat buri baat hai. Hum say aik say aik shahkaar dunia main par’ay hain bus hum jantay naheen is liaay khud ko bohat kuch samajhtain hain.
Kisi nain Allah Hafiz ka smily naheen banaya takay use kar sakain. If anyone can add Allah hafiz’s smily I will apriciate him/her.
U have excellent ability to prove that your mistake is actually not a mistake, its right and you know how to try to prove it's right. That is a wrong way that way you can't learn.
Aap ko samjhanay kay liay likhti hoon apni aik baat jis say main nain sabaq seekha. Jub main nain roti banana seekhi thi aur meri ammi bemar hogain to mujhay khana banana para rotian bhi banana pari meri aik aunty free ho gaeen kay unki bhi rotian paka doon wo ata goondh kay day jaya karti theen aur main unki rotian paka dia karti thee go kay bura bohat lugta tha kay free ho gaeen wo zara muft khori type ki theen apna gas bachanay kay liay aur mujh say kaam laynay kay liay. Phir unhon nain meri ammi say shikayat ki kay yay rotian sahi naheen banati beech main patli aur kinaron main moti hoti hain. Mujhay sun kar un per shadeed ghussa aya kay aik to apnay ghar ka sara kaam karna parta hai. Ammi marnay kay haal main hain wo tension alag. wo aunty ghar main apna qabza jamanay kay chukkar main unka tension alag aur phir unko roz paka kar bhi do aur wo burai bhi karti hain. Phir jub main nain socha agar main bura maan loon gi to mera nuqsaan hain unhon nain aisa daikha tub kaha na ghalti meri naheen hoti to wo kaisay burai karteen so main nain socha bajaay bura mannay kay apni ghalti sudhar loon kay ainda koi ghalti na dikha sakay jub main nain roti pakai aur aunty ki baat ka khiaal aya to roti balnay kay baad ghor kia to waqai unhon nain jaisa kaha tha sahi kaha tha so main nain ussay bail kar sahi kia aur phir taway pay dala. Uskay baad her baar roti ka jaiza lia aur phir taway pay dala. Phir kia tha doosray din wohi aunty tareef kar raheen theen. Uskay baad sub hi tareef kartay thay. To main nain socha ghalti unhon nain dikhai aur main nain sahi karli to faida to mera hi huwa. Her aik jub tareef karta tha to main her kisi ko yay to naheen batati thi kay un aunty ki nishandhi kay baad main acha pakanay lagi.
Yay hi wajah hai main un logon say naraz naheen balkay bohat khush hoti hoon jo meri ghalti dikhatain ya batatain ya nishandahi kartay hain. Main khud bhi kisi ki ghalti batanay main dair naheen karti khuwaah mujhay galian par'ain kay budduain. Kioon kay meray dil main her kisi kay liaay khuloos hota hay jo logon ko nazar naheen ata is liaay darti naheen kay khuwah makhaah ki galian aur budduain mera kuch nuqsaan naheen ponhchain gi.
ghaflat ghain say shuru hota hai aur gh say gha ki awaz nikalti hai is liay sahi tareeqa hai h lagana g kay baad.
Darasal meri aik dost hai jo urdu naheen janti lekin english janaay ki wajah say parh sakti hai laikin wo urdu kay sahi talluffuz say naheen parh sakti is liay kay sahi alfabets ka istamal naheen hota agar hum sahi alphabets ka istamal karain to her koi parh sakta/ti hai khuwah wo janta/ti hokay na ho. Jubkay jo urdu jantain hain wo to spelling mistake hokay sentnce main kafi ghaltian hon wo pura mutlub samajh jain gay unkay liay masla naheen hota. Is liay main try karti hoon kay is tarha likhoon kay her koi parh sakaay sahi tallaffuz kay saath.
Meray hisab say ghaflat ko yoon ghuflut likhna chahyay.
You mean you are heeron ka heera. I love Heeras thats why I sing infront of my boyfriend (mangaiter)
Mujhay nau lakha manga day ray o sajna deewana.
wo kahta hai phir deewani to tum meri ho main tumhara deewana naheen.
Phir main kahti hoon Aay wi theek aay.
Hamain to bus sub ki ankhon ko chundhiaanay wali naheen bulka sub ki ankhon ki heera bunnay ka shauq hai per gun koi aisay naheen jis pay sub ki ankhon ka heera bun jaoon.
Nice signature.
Are you male or female???
i never ever said that i'm great.....
na hee main GAROOR ker rahi hu.....
aur shair mey that is....
ik haqeeqat he sahi .......
hum insano;n kee hud garzi per tunz kiya gaya hey.k hum jannat ko paany kee khwakhish rakhaty hein lakin apny he jesiy logo'n ko nahi samajh sakty....jannut kee hooro'n ko kiya hasil kerein gey
dont say boyfriend......is k meanings kuch aur hoty hein...
well mubarik ho...u r engaged
shikwa o shikayaat kay bajaay khamosh rakhna jantay hain
hum to zuban ko izhar kay bajaay framosh rakhna jantay hain
Ziada khatti cheezain na khaya karain to na munh ka zaiqa aur na hi zuban tursh hogi. Mashwara dair say dia is liay ub aap ki zuban choonkay tursh ho hi chuki hai to Masoom ki taraf say muft aur mufeed mashwara yay hai kay zuban yani hindi main jeeb ko rin sabun laga kay jhoonay say manjh lain aur teen bar kalima parh kay khangaal lain turshiaat e zubn say nijaat milay gi, mazaq. Tension dil apnay pay nain laynay ka balkay Dushmanan e Islam ko daynay ka, musalmanon say mohabbat aur akhooat barhanay ka aur apas main nafrat aur tension khatum karnay ka.
u never ever said BEWAQOOf bus u said FAZEELAT/FAZOOLIYAT
You mean you are heeron ka heera. I love Heeras thats why I sing infront of my boyfriend (mangaiter)
Mujhay nau lakha manga day ray o sajna deewana.
wo kahta hai phir deewani to tum meri ho main tumhara deewana naheen.
Phir main kahti hoon Aay wi theek aay.
Hamain to bus sub ki ankhon ko chundhiaanay wali naheen bulka sub ki ankhon ki heera bunnay ka shauq hai per gun koi aisay naheen jis pay sub ki ankhon ka heera bun jaoon.
Nice signature.
Are you male or female???
thanx to like signature
i m female...name u can see at the starting and at end of my signature,that is in brackets.....(mah)(rukh)
i m married and also doing M.Sc from PU.
hadith jo garoor kerta hey wo Allah kee rida ko khainchnay kee koshish kerta hey…
Bohat Bohat shukria Itni achi hadees share karnay ka. Allah aap ko ajr-e-naik daiga :insha:
Kia kaha aap nain kay aap ki baat ko soch samajh kar jawab dia karoon. Aap nain to aisa sawal kar dia jo main kar hi naheen sakti. Sochnay samajhnay kay liay dimagh chahyay jo meray paas hai naheen to bhala batain main kaisay sonchoon samjhoon gi.
Aap to kia man to kisi ki bhi baat ka jawab sonchay samjhay baghair daiti hoon. Baad main sochnay ki koshish karti hoon aur dimagh na honay ki wajah say baad main bhi soch samajh naheen pati. So mazrat. May be I felt that way.
Achay ahadith waghaira aur qurani taleemat share karti raha karain hum bhi khush hongay aur Allah bhi.
I noticed nukta cheeni, tanqeed aur bareek beeni ki wajah say aap kay signature main parh kar samajh lia tha (hayran ho raheen hain kay dimagh naheen to samajh kaisay lia tha, darasal itna thora sa samjhnay kay kay liaay Allah tala nain thora sa dimagh marhamat farma dia hai mujhay. Jazak Allah).
Naam aap ka bohat pyara hai Kia baat hai aapnay saray meray pasandeeda namon aur lafzon ko apnay paas jama kia huwa hai.
Mah rukh mujhay naam bohat pasand hai shairana sa naam lugta hai.
asalamu alaikum…
thanx to like name…
doing M.Sc in psychology from punjab university lahore…
this is last semester inshAllah.
dont say that i m genious…wo log aur hotay hein mein un mein se nahi…but alhamdullilah…
na to inferiority complex mey mubtala ho jao aur na he superiority complex mein.
Alhamdullilah got married on 24 april,06(this year). so yet no kids.
May Allah give health to ur mom,n ur family and to u.
sorry i cudnt understand what u said abt mails reply and chat
masoomSiLarki, fazeelat, if you guys are done, shall we move on please? :) I suggest since you have become friends, why you don't exchange email addresses to chat in detail :)
**
Ye weham nahi to kya hey, ye gumaaN nahi to kya hey!
ye jo dil sey utth raha hey, ye dhuwaaN nahi to kya hey!
tujhey kis dard ki shiddat merey dar pey kheeNch laai
tujhey kis ney keh dia tha merey paas har dawaa hey!
my next shair…
yun tu bunjaaray rishto;n kee tijarat nahi kerty
humlog dikhawawy kee mohabbat nahi kerty
tofaa’n se lernay ka saleeqa hey zarooori
hum doobnay walo’n kee himayat nahi kerty
Many thanks Fazeelat ji. You are doing my dream that is M.Sc. in psycology. My favorite subject. You are genious in my Noor e nazar.
Kafi time say yay araha hai ub main issay change kar rahi hoon doosray letter say.
Thank you Fazeelat.
Jawab
Yari na ho phir bhi toofanon main doobnay walon ko
Kood par’tay hain bachanay ko chor’ kay sub sawalon ko
Zaroori naheen kay aay saleeqa buchnay ka saray logon ko
Apna ho ya baygana muhabbat honi chahyay insaan say insanon ko
wafa kee aas mein kee is sey baat ulfat kee
yeh baat is ko lagi harf be asar kee tarah
her ik simt wohii khoobru nazar aya
her ik nazr lagi mujh ko usi nazar kee tarah
LITTLE FEAR "Today, I became speechless, **
**<O:pI saw the lizard tailless". Creeping on my key board, It jumped on the floor, <O:p<O:p*“Near my foot toes,<O:p* It crossed the bathroom door, My brother threw on it a soap, <O:pIt hided again in the hole”.****
*BY.S .Rukh-e-zehra.Abidi *
*"MY WISHES"* <O:p</O:p
I wish I could fly <O:p</O:p Touch the sky,<O:p</O:p Flying so high,<O:p</O:p Wanted to talk loud ,<O:p</O:p With the clouds ,<O:p</O:p Climbs the cloudy stairs,<O:p</O:p To paint the stars,<O:p</O:p So, that they become dark,<O:p</O:p See in the morning ,<O:p</O:p Feel in the **noon I do not know , When my wishes would become true
*BY S.RUKH-E-ZEHEA */O:p</B