Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Yahan her aan larka murgha/murghi nazar ata/ati hay
ghaltiaan dikhao to kaat khanay ko darta/dorti hay
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Yahan her aan larka murgha/murghi nazar ata/ati hay
ghaltiaan dikhao to kaat khanay ko darta/dorti hay
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Fazeelat ji U forgot to read my this post where I posted NOT A SINGLE WORD STARTS WITH “DO CHUMMAY WALI HAY” IN URDU.
I think some paindoos don’t know this.
Hood starts with CHOTI HAY. In Urdu Bar’i hay, Choti hay aur do chushmi hay are three different letters.
I don’t challenge anything without knowing.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Fazeelat ji lugta hai purani honay ki wajah say aap ka mind itna fast chalnay laga hai kay aap sahee tarha say daikh ya parh naheen pateen lihaza parhtay waqt itna taiz na parhain kay alfaaz hi bhoonkon ki tarha kha jain. Behtar hoga chamma laga kar parhain to skip nahen kar sakain gi aap alfaaz ko.
Aap ki asani kay liaay main nain apna post quote kar dia hai dono jissay na sirf Ankh balkay AQL ki aankh khol kar parhain gi to aap ko saaf nazar aa jaay ga.
Yoon lugta hai aap ko ghar main larnay ko koi milta naheen to aap post main laraka murghay/murghi ki tarha zor azmai shuru kar deti hai. Masoom nauwaridon pay bhi pil parnay saay aap baaz naheen ateen.
Larna jhagarna JAHILON ka kaam hai aur main is say door rehna hi pasand karti hoon. Mera aap ko bhi muft aur mufeed mashwara yay hai kay cheel kawwon aur gidh ki tarha logon ko nochnay na khari ho jaya karain khaas kar zinda insaanon ko. Lar’nay kay liaay aap ko kuch naheen milta to khud hi ghaltiaan bana baithti/tay hain.
Main nain aap ki ghalti ki nishandahi ki thi is liaay naheen kay aap pay subqat lay jaoon na hi tanqeed kar kay mujhay tafreeh milti hai balkay meri yay koshish hoti hay kisi ko kuch ghalat kartay daikhoon to ussay sahi bata doon amal karay na karay uski marzi.
Main khud bhi bura naheen manati agar koi meri ghalti batay to kioon kay ghalti batanay wala hamara achcha chahta hai yani hamari ghalti ko door karna chahta hai tubhi batata hai.
Aap ko jub bhi meri koi aisi ghalti nazar aaay aap zaroor batain mujhay bayinteha khushi hogi aur main ussay aapki dushmani kay zumraay main naheen loongi khuwah aap nain wo dushmani main hi kioon na ki ho ya na ki ho.
Mujhay khushi huwi kay aap nain meri aak ghalti ki nishandhi ki jiskay liaay main aap ki tahay dil say MASHKOOR HOON. Ainda bhi ghaltion ki nishandhi karti/kartay rahyaay ga meharbani hogi.
Is tarha do kaam hongay aik to hamari ghalti theek hogi dossray naay anay walon ya jinko itni urdu naheen ati unko seekhnay ka ya apni ghaltion ko theek karnay ka mouqa milaay ga.
Haan zabardasti jhooti ghaltiaan nikaalnay say parhaiz karain to behtar hoga. Jainsay apnay nain kaha kay dua main pehlay apnay aap kay liay dua karna chahyay. Main nain hum ka istamal kia hai jismain ghalayban main bhi shamil hoti hoon. Meri baat agar samajh na aay to kisi say pooch lain kay hum ka lufz dua main istamaal karnay ka kia matlub hota hai.
Dossri Do chusmi hay say urdu main koi word shuru naheen hota. Hood choti hay say shuru hota hai. Bar’i hay, Choti hay aur Do chashmi hay urdu kay teen alag alag letters hain. Baghair knowledge kay main challenge naheen karti.
Apnay ghussay ko khatm karain main bhi yahan urdu jo ata naheen wo seekhnain aur jo ata hai wo seekhanay ati hoon. warna apnay ashar main kisi ko kabhi sunati bhi naheen aur na hi sunana chahti hoon.
Mujhay kisi pay bartari hasil karnay ka koi shauq naheen. Izzat aur zillat denay wala to sirf Allah hai. Sirf Allah hi Izzat kay qabil hai hum to kuch bhi naheen.
Main aap ki taraf dosti ka haath barhati hoon. Agar aap ko ghussa aya karay to baraf ki batli (balti) main sir dubo lia karain afaqa hoga. Mazaq hai aap ko hansanay kay liay ghussa dilanay kay liaay naheen.
Thanks again for your nishandahi e spelling mistake of AQL.
Allah hum sub ko ghussay pay qaboo panay ki salahiat day aur shaitaan kay narghay say bachaay Ameen.
Fazeelat ji aap ki dua bhi achi hai thanks for ur dua and mashwara.
Allah Hafiz
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Good question. Dair ayad durust ayad.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Excellent Mashwara. Here u did fast and Correctly.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
U come come ji.
tumhain bhaija hai khat main
naheen yay mera dil hai
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
![]()
![]()
It does matter ALOT.
K = Kaaf
Q = Qaaf
Kawwa kaaf say hota hai Qaaf say naheen
Qatil qaaf say hota hai kaaf say naheen.
Quran main kaaf ko qaaf ya qaaf ko kaaf bananay saby lufzon kay mutlub badal jatain hain jo sawab kay bajaay gunah ka sabab hotay hain. Jo Urdu main Kaaf ko Qaaf ya Qaaf ko Kaaf banatain hain wo Quran main bhi yahi kartain hain jo sahi naheen.
Kero naheen KARO.
Aray baba (her ghar’i larnay ko tayyar kamran fazeelat sahib/sahiba) main nain in general kaha hai lugta hai aap apnay dil pay lay gain. Tension layna ka naeen. Aap nain aisa shair kaha hai aur ilzaam mujh pay thopti hain aur khud mukarti/tay hain. such to yay hai kay her mohabbat karnay wala shakhsh aql ka andha bun jata hai jub wo kisi say mohabbat karnay lugta hai Mahboob/Mahbooba koi bhi ho sakta/sakti hai jaisay kay Allah, Anbiaan, Farishtay, Sahaba, Maan, Baap, Dost, rishtaydaar, log waghaira waghaira. Aap nain to sirf aik hi sense main lay lia mehboob aur mahbooba ko.
Aap ka shair acha laga mujhay bohat.
Allah hum sub ko shaitan kay shikanjaay say bachaay Ameen.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
dosti key haath ka shukria and jazakaAllahu khair
jis se dushmani hoti hey…us se dosti kerty hein,jis se dushmani nahi wo baad kee baat hey.
mujhy apny gussay peh bohat control hey,alhamdulilah…
aur waqai mujhy lernay k liye gher mein koi nahi milta
.
aur jisy aap larai keh rahi hein this is not larai…:D.ok so cheer up.
aur Alhamdullilah meri urdu bhe kafi achi hey…haan shayad aap ki zayada achi ho:lajawab:.achi baat hey
n remember…mein larai nahi ker rahi thee.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Thanks Gul e Tasbeeh ji. U chose very nice name. Thanks for reminding us that its for ahsaar azmaish not a maidan e jung.
Yay fazeelat ji na jaanay kioon itna barham hoti/hotay hain.
I love her name cause I had a friend her name was fazeelat and I personaly like her balkay love her. she don’t understand. Sheeeeesh don’t tell her warna wo bailan lay kar meray peechay dor’na shuru kar dain gi aur purani aur fast honay ki wajah say main bechari masooom unkay shinkanjay main ajoon gi to wo mera thobr’a tor’ dalain gi.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
I made mistake in my last post
She don't naheen balkay doesn't
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
yun dua maang key asmaan mey bul(curve) aa jaye
sab farishto'n kee ibaadat mey khalull aa jaye
hud se gaflat naa barut, yeh bhe to ho sakta hey
tu pas-e khuwab ho aur waqt-e amal aa jaye
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Shukar hai aap lar’ naheen raheen theen mujhay to lug raha tha jaisay aap larnay pay tuli huwi/huway hain.
Aap larki hain ya larka jaldbaazi main Lar’aki ya Lar’aka na par’h lijaay ga.
Itnay baray baray daan’t nikal kay main cheer up naheen hoti main to qahqahay mar kay khush hoti hoon. Naheen jhoot bol rahi hoon qahqahay marna ya hansna Islam main mana hai.
Me very very happy.
Panjabi honay kay bawajood aap ki urdu waqai masha Allah bohat achi hai. Shayad isi liay aap ko apni urdu pay maan hai. Jubkay mujhay apni urdu pay zara bhi maan naheen balkay main to kahoon gi mujhay bohat thor’a ata hai. Urdu meri madri zuban hain albatta net pay logon kehtain hain meri urdu bohat achchi hai jub kay mujhay bilkul naheen lugta. Meray chotay bhaion ki urdu aur shairi mujh say bohat behtar hai. Mujhay lugta hai log charhanay kay liay mujhay kahtain hain kay meri urdu bohat achchi hai. Mujhay to urdu seekhnay ka shauq hai.
Aap ki ghaltion say main aap ko pakar sakti hoon kay aap punjabi ho. One of my aunt is punjabi and I know what mistakes she makes.
Punjabies always use kaaf instead of Qaaf and they always say kero instead of karo. If you will ask I will tell you where to correct your mistakes and people will not be able to find out that you are a Punjabi or Urdu speaking.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Bohat khoob. Zabardast. Masha Allah, Jazak Allah Khair. Aap to bohat zabardast shairi karti hain.
gaflat indians write like that sahee word is Ghaflat.
Indians write fir instead of phir.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
wa’alaikum asalam
…i live in punjab…
punjabi bhe aati hey
alhamdullilah urdu bhe theek hy
but here we write in english so…i dont care abt spellings
urdu , english, punjabi aur alhamdulilah can also well understand arabic.
so thru my english spellings u cant judge my urdu language…
yeh larai nahi…
coz i know and understand this shair…that is in my signature
ik haqeeqat hee sahi firdous mein hooro’n ka wajood…
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
gaflat indians write like that sahee word is Ghaflat.
Indians write fir instead of phir.
if we only consider the sounds....of gaflat
so with GHflat...HEY kee awaz bhe boli jaye jaye gi
and u can see in gaflat mey HEY nahi hota
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
if u already know then y u r asking from us??:D(kidding)
larai…?
koi larai nahi ho rahi:attia:hum to wesy he aik doosray ki mistakes pointout ker rahy hein…wo alag baat keh dono’n ka mizaaj thora tursh ho gaya…otherwise its ok.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
if u already know then y u r asking from us??:D(kidding)
larai…?
koi larai nahi ho rahi:attia:hum to wesy he aik doosray ki mistakes pointout ker rahy hein…wo alag baat keh dono’n ka mizaaj thora tursh ho gaya…otherwise its ok.
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
gaflat indians write like that sahee word is Ghaflat.
Indians write fir instead of phir.
thanks alot to like it
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
I new that you are a faazil thats why you chose fazeelat name. I only know tooty phooty Urdu. I can understand little bit punjabi and english. I would love to learn Punjabi.
You mean you are heeron ka heera. I love Heeras thats why I sing infront of my boyfriend (mangaiter)
Mujhay nau lakha manga day ray o sajna deewana.
wo kahta hai phir deewani to tum meri ho main tumhara deewana naheen.
Phir main kahti hoon Aay wi theek aay.
Hamain to bus sub ki ankhon ko chundhiaanay wali naheen bulka sub ki ankhon ki heera bunnay ka shauq hai per gun koi aisay naheen jis pay sub ki ankhon ka heera bun jaoon.
Nice signature.
Are you male or female???
Re: Bait Bazi — Personal Edition II
Fazeelat ji itna maththa na peeta karain sir pay ablay par’ jain gay. Waisay hi aap kay khoon main bohat ubaal ata hai is liay sir peetnay say parhaiz kia karain ublay khoon kay josh main kami ka bais hoga. Achchay smilies use karay. Ha ha mandak wala bohat achcha hai. Mera hargiz tursh naheen huwa main nain kaheen aap ko bewaqoof aur isi tarha kay ya kisi qism kay alqabaat say naheen nawazay. apna to yay tareeqa e kaar hai.
shikwa o shikayaat kay bajaay khamosh rakhna jantay hain
hum to zuban ko izhar kay bajaay framosh rakhna jantay hain
Ziada khatti cheezain na khaya karain to na munh ka zaiqa aur na hi zuban tursh hogi. Mashwara dair say dia is liay ub aap ki zuban choonkay tursh ho hi chuki hai to Masoom ki taraf say muft aur mufeed mashwara yay hai kay zuban yani hindi main jeeb ko rin sabun laga kay jhoonay say manjh lain aur teen bar kalima parh kay khangaal lain turshiaat e zubn say nijaat milay gi, mazaq. Tension dil apnay pay nain laynay ka balkay Dushmanan e Islam ko daynay ka, musalmanon say mohabbat aur akhooat barhanay ka aur apas main nafrat aur tension khatum karnay ka.