Bait Bazi — I-2006

Re: Bait Bazi — I-2006

Tum meri aankh ke taiver na bhula paao ge
An kahi baat ko samjho ge to yaad aaonga
Ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ekhattay dekhay
Safha-e-zeest ko palto ge to yaad aaonga

TLK

Re: Bait Bazi — I-2006

Apna zamana aap banatey hain aihal-e-dil
Hum wo nahin hain jin ko zamana bana gaya

TLK

Re: Bait Bazi — I-2006

thanks rabia now i must follow the rules and thanks again 4 wellcom

Re: Bait Bazi — I-2006

Apne karnaame per barq akarhti hai
jaese aashiyana hum phir bana nahi sakte

Re: Bait Bazi — I-2006

ye kia k sab pay ayan dil ki halatain krni'n
Faraz tujh ko na ayen mohabbatain krni'n

Re: Bait Bazi — I-2006

Na jazba hai na dil apna na ehsaas-e-murawwat hai
Jo dil ko dil se hoti theen woh ab rahatain nahee hoteen
Kisi ke rooth jane per kisi ko khoo ke panay per
Bahut hoti theen ashkoon ki woh barsaatain nahee hoteen

Re: Bait Bazi — I-2006

neend jab KhvaaboN se pyaaRii ho to aise ahad meiN
Khvaab dekhe kauN aur KhvaabooN ko de taabeeR kauN

Re: Bait Bazi — I-2006

Naseem-e-subha gulshan mein gulon se khelti hogi
kisi ki aakhri hichki kisi ki dillagi hogi

tumhein daanista mehfil mein jo dekha huun tu mujrim huun
nazar aakhir nazar hai be-irada uth gaee hogi

Seemab Akberabadi

Re: Bait Bazi — I-2006

Ye kis ney kaha tha ke usey waqf-e-hawaa kar.
ab dooNdtey ho kiuN usey mutthi sey urra kar

Re: Bait Bazi — I-2006

Rahiye ab aesi jagah chalkar jahan koee na ho
hamsukhan koee na ho aur hum zabaan koee na ho

Ghalib

Re: Bait Bazi — I-2006

Woh tou jaan lay kay bhi waisa hee naik naam raha
Ishq kay baab main sab jurm humaaray niklay

yay

Re: Bait Bazi — I-2006

**ye mera hosla hai teray baghair **
sans laita hon bat kerta hon

Re: Bait Bazi — I-2006

Naghmoo'n ki ibtida thi kabhi mayray naam say
Ashkoo'n ki intiha hoon ,mujhay yaad keeje'ay !

yay

Re: Bait Bazi — I-2006

Ya RAb ye jitnay ghar hain ujalon say dor dor
itni hi roshni mai sitaron say cheen lon
jitnay bhi hain wajood libadon say bay niyaaz
itni hi chadrain mai mazaron say cheen lon

Re: Bait Bazi — I-2006

Najaney ho gia hoon is qadar hassas main kab sey
kisi sey bat karta hoon to ankheen bheeg jatti hain.

wasi shah

Re: Bait Bazi — I-2006

nahi nahi ye khaber dushmano nay di hogi
wo aye, a k chalay bhi gaye,milay bhi nahi

Re: Bait Bazi — I-2006

Hum chhat pey chaand ko dekhney key bahaney theheR gaye
Yehi soch kar key shayad tu bhi nikal aye kisi ghaRi

Re: Bait Bazi — I-2006

yaad main teri ankhen bharta hai koi
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi

Re: Bait Bazi — I-2006

ye chahat nahi tu or kia hai
koi teray siwa daikha na jaye

Re: Bait Bazi — I-2006

Youn phir raha hay kaanch ka paykar liay hovay
Ghafil ko yeh gumaa'n hay kah Pat'thar na aa'eyga

yay