Bait Bazi — I-2006

Re: Bait Bazi — I-2006

Khaishoon k samandur k sub moti tera mukader hoon Phool Chehray Phool Lamhey terey humsafer hoon Teri Samatoon ki Dasturs mein Khubhi wo lafz na aain k terey dil ko malal hoo Kuch yoon utrein terey liey rehmatoon k maosam k teri dua koi herf-e-Mudaa kubhi asmaanoon sey rad na hooo Terey naam ki duaoon mein shamil kisi ka koi herf-e-bud dua na hoo Kehkashani rastoon pey pehum rawan rahey Meri dua hai teri umar ka her lamha jawidaan rahey

Re: Bait Bazi — I-2006

yey intikaam bhi laina tha zindagi ko abhi
jo log dushman-e-jaan thay ghumgusaar huay
gila usi ka kia jis say tujh pur harf na aaya
wugarna yu to situm humpur bay shumaar huay

Re: Bait Bazi — I-2006

yeh kon loog andhayroon ki baat kartay hain
abhi to chaand tayri yaadkay dhalay bhi naheen

noon

Re: Bait Bazi — I-2006

numod o nam'honay ka khasara ker lia jaye
khari chahat millay tu sab gawara ker lia jaye

Re: Bait Bazi — I-2006

ye kis khalish ne phir iss dil mein aashiyana kiya
phir aaj kis ne sukhan ham se gaayebana kiya

thay khaak-e-raah bhi ham log qahar-e-tufaan bhi
sahaa tu kya na sahaa aur kiya tu kya na kiya

Faiz Ahmed Faiz

Re: Bait Bazi — I-2006

apnay hathon ki lakeron mai basalay mujh ko
mai hon tera tu naseeb apna banalay mujh ko

Re: Bait Bazi — I-2006

kabhii hum bhii us k Qareeb thay, dil-o-jaan se barh k azeez thay
mgr aaj aise mila haii wo kabhii pehle jaise mila na ho

Re: Bait Bazi — I-2006

Wabastah mairi yaad say kuch talkhiyaa'n bhi theen
Achchaa Hovaa joo tou nay faraamosh kar diyaa

alif

Re: Bait Bazi — I-2006

ab kaheen ja k mohabbat mein bahar aaee hay
phool daman pay na thay deeda e tar say pehlay

yay

Re: Bait Bazi — I-2006

yaad aon gi tujhay acha dinon ki sorat
mai mukammal teri tanhai na honay dongi

Re: Bait Bazi — I-2006

ye jo khwahison ka parind hai issay mausamon say garaz nahi
ye uray ga apni hi mauj mai issay a'aab day kay sarrab day

Re: Bait Bazi — I-2006

Yahi bohat hai ke dil uss ko dhuund laaya hai
kisi ke saath sahi wo nazar tu aaya hai

Amjad Islam Amjad

Re: Bait Bazi — I-2006

**yaqeen ker k bahut hi khulos say ki hai **
teray diye huay zakhmon ki perwarish mai nay

Re: Bait Bazi — I-2006

yey umr-e-gurezaa kuhi thehray to yey jaano
hur saans main mujh ko yehi lagta hay kay tum ho

"O"

Re: Bait Bazi — I-2006

its WOW hj,
wo keh rahi thi k ankhain nahi samandar hai
mai un mai doob gaya aitbar kertay huay

Re: Bait Bazi — I-2006

door rah kar bhi hai her saans mein khooshbo teri
mein mehak jaon ager to pass bolale mujh ko

Re: Bait Bazi — I-2006

Aik taraf ho soorat teri aik taraf ho sari duniya
Hum ho kay duniya sey bekhaber tum ko dekha karien

Re: Bait Bazi — I-2006

Yaad itna hai barq chamki thi
kya hua aashiyan nahi maloom

khud ba khud jhuk gaee jabeen-e-shauq
kis ka tha aastaan nahi maloom

Saeed Shaheedi

Re: Bait Bazi — I-2006

TAHREEM ur poetry selection is nice but dear plz follow the rulez...ur stanza must b start 4m furthur stanza........take care next time............have a nice particepation....ok dear..........

Re: Bait Bazi — I-2006

**maloom ager hota bhatay hain tujhay ansoo **
mai ankh k parday mai sawan ko bitha laita