Bait Bazi — I-2006

Re: Bait Bazi — I-2006

[quote=Althea]
friends harf-e-junoon and sunny_nicky ... shaid unjanne mein app logon ne bait bazi ka tasalsul tor dia hai ... look back ... last appropriate sher was posted by mirabbas which ended with "wao" ... this is where I 'll pick up ...
ummm ... sunny_nicky ... even if you were right ... your sher ended with "ye" .... remember y'all this is supposed to be in urdu.

waqt jo mere ikhtiyar mein tha
main ussi waqt ke hisar mein tha

kheench laya usse bhi maqtal tak
woh jo ek lutf iqtadar mein tha

"alif"
ajab qahat parha ab ke saal ashkon ka
ke aankh tar na huee khoon mein naha kar bhi

Amjad Islam Amjad

Re: Bait Bazi — I-2006

Yoon dil kay dharraknay ka kuch tou hay sabab aakhir
Ya dard nay karvatt lee ya tum nay idher daikha

alif

Re: Bait Bazi — I-2006

Agarcha bût haiN jama'at kee AasteenoN maiN
Mujhay hai Hukm e azaaN, la ilaha illalla

Re: Bait Bazi — I-2006

aur duniya say bhalaye ka sila kia milta
aaina mai nay dikhaya tha k pather barsay

Re: Bait Bazi — I-2006

Yeh theek hay naheen marta koi Judai say
Khuda kissi say kissi ko magar juda na karay

yay

Re: Bait Bazi — I-2006

Namuraadi ka yey aalum bhi to ay dil na ruhay
ab to hum tarq-e-taaluq kay bhi qaabil na ruhay
"faraz"

"y"

Re: Bait Bazi — I-2006

Yahan tou insaanoo'n ki taqdeerain badal jaati hain
Daikhi hovi khwaboo'n ki taa'beerain badal jaati hain
umer bhar kay liay aik makaa'n main ab koi naheen
Yahan to pal pal kay liay jaageerain badal jaati hain

Noon

Re: Bait Bazi — I-2006

*Na Dekhna kabhi aaina bhool kar dekho *
*Tumhaare husn ka paida jawaab kardega *

** * Alif***

Re: Bait Bazi — I-2006

ab ye suurat hai ke ay pardansheen
tujh se ahbaab chupaate hain mujhe

Momin khan Momin

Re: Bait Bazi — I-2006

Yaad aata hai roz-o-shab koi
hum se rotha hai be sabab koi


*"Choti Ye" :D *

Re: Bait Bazi — I-2006

ye zid, ke aaj na aave aur aye bin na rahe
q'zaa se shikwa hamein kiss qadar hai, kya kehiye

"ye"

Re: Bait Bazi — I-2006

yeh gerde rahe shooq hi jam jaye badan per
Ruswa hain hum ke koi libada nahi rakhtey

Re: Bait Bazi — I-2006

Ye keh sakte ho ham dil mein nahi hain par ye bataao
ki jab dil mein tumhi tum ho tu aankhon se nihaan kyun ho

qafas mein mujh se rudaad-e-chaman kehte na dar hum dum
giri hai jis pe kal bijli wo mera aashiyaan kyun ho
**
**Mirza Ghalib

Re: Bait Bazi — I-2006

Wo Shakhs khizan rut mai bhi muhtaat rahey kitna
Sokhey hoye pholon ko bikherney nahi deta

Re: Bait Bazi — I-2006

Ashk e ravaa'n Main itni shiddat naheen daikhi
Pahlay kabhi dil ki aisi haalat naheen daikhi
Har shaakhs ki aankhoo'n lahoo daikha hay
Tayray shaher kay logoon main muhabbat naheen daikhi

yay

Re: Bait Bazi — I-2006

yaron kahan tak or mohabbat nibhaon mai
do mujh ko bad dua k ussay bhool jaon mai

Re: Bait Bazi — I-2006

Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi k dil ka qaraar hoon
Jo kisi k kaam na aa sake, main wo ek musht-e-ghubaar hoon

noon

Re: Bait Bazi — I-2006

najany kaun sa asaib dil mai basta hai
k jo bhi tehra wo akhir makan chor gaya
aqab mai gehra samendar hai samnay jungle
kis inteha pay mera mehrban chor gaya

Re: Bait Bazi — I-2006

Yaad aajati hain jab bhi qurbattain teri
Aanso'oun ka silsila phir dair talak rawaan rehta hai
Jaanti hoon ke ab kabhi na aaoge tum is nagar
Phir bhi har aan teri aahat ka gumaan rehta hai

Re: Bait Bazi — I-2006

yaad tu hongi tujhay ab bhi woh batain lakin
shelf mai rakhi hui band kitabon ki tarahn