Bait Baazii

Youn dil mien thee yaad us ki jaise
Masjid mien chiraagh jul raha tha

Aap ko bhool jayain hum itne tu bewafa nahee
Aap se kya gilla karain aap se kuch gilla nahee ...

Next: Ye

*ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa *

*Is shehR mien aa ker parhne walay bhool gaye
Kis ki Maa ne kitna zaiwer baicha tha *

*aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa
kyaa kahuu.N aur kahane ko kyaa rah gayaa *

*Ussii ik shaks ke waaste mere dil mien durd hai kis liye
Merii zindagii ka mutaalba wohii ik shaks hai kis liye *

Ye kis nay kehdiya hum zeest say beyzaar bethay hain
Hamari khamoshi say tum ghalat manay na ley lena...~

*Is baar tu barishien ruktii nahi hien dosto
Hum ne kia aansoo piye ke saray mosum ru paray .. *

ab chhalakte hue saaGar nahii.n dekhe jaate
taubaa ke baad ye manzar nahii.n dekhe jaate

mast kar ke mujhe auro.n ko lagaa muu.Nh saaqii
ye karam hosh me.n rah kar nahii.n dekhe jaate

saath har ek ko is raah me.n chalanaa hogaa
ishq me.n rah_zan-o-rah_bar nahii.n dekhe jaate

ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalanaa lekin
un ke badale hue tevar nahii.n dekhe jaate

Yaad phir aaya woh guzra huwa saawan mujhko
Phir meri aankh ne ronay ka bahaana chaaha ...

Next: Alif

ab chhalakte hue saaGar nahii.n dekhe jaate
taubaa ke baad ye manzar nahii.n dekhe jaate
saath har ek ko is raah me.n chalanaa hogaa
ishq me.n rah_zan-o-rah_bar nahii.n dekhe jaate
ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalanaa lekin
un ke badale hue tevar nahii.n dekhe jaate

Yaad aayenge tumhein guzray zamaanay phir se
Jab bhi hathoon ki lakeeroon ko koi daikhay ga ...

Next: Alif

**ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchte chalo
kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchte chalo

ham se agar hai tark-e-ta'alluq to kyaa huaa
yaaro ko_ii to un kii Khbabar puuchte chalo **

os pade bahaar par aag lage kanaar me.n
tum jo nahii.n kanaar me.n luTf hii kya bahaar me.n

us pe kare Khudaa raham gardish-e-rozagaar me.n
apanii talaash cho.Dakar jo hai talaash-e-yaar me.n

ham kahii.n jaanevaale hai.n daaman-e-ishq cho.Dakar
ziist tere huzuur me.n, maut tere dayaar me.n

Na dilaeeyay ab koi mujhe muhabbat ka yakeen
Jo mujhe bhool nahee saktay thay wohi bhool gaye ...

Next: Ye

**yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe

bevafaa tum kabhii na the lekin
ye bhii sach hai ki bevafaa se rahe **

Yeh soch ke le aaya hoon mein jungle se kuch jugno
Na jane ab qismat mein sehar hai ke nahe hai
Maanga hai tujhe Rab se ke ek zid si hai kab se
Dekhoon tu meri duaoon mein assar hai ke nahee hai ...

Next: Ye

yeh kese kowat-e-parwaaz dar na paida ke
parinday urtay hoay apne per bhi bohl gayay
dukho na chehn le aankhon ke sare benaee
hum uska shahar to kia rahguzar bhi bohl gayay

"yeh"

*Ye doulat bhee le lu ye shohrat bhee le lu
Bhalay cheen lu mujhse merii jawanii
Mgr mujh ko louta duu bachpun ka savan
Wo kaghaz ki kashtii wo barish ka panii *

**ye mojazaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
ki sang tujhape gire aur zaKhm aaye mujhe

vo meraa dost hai saare jahaa.N ko hai maaluum
daGaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe **