Bait Baazii

Adaab Sahebaan, Hum ye naya thread baitbaazi ka shuru karte hain, aur is mein sirf ek shair likhna hoga aur jawab mein jo shair likha jayega wo diye gaye shair ke akhri hurf se likhyega. Umeed hai ke bait baazi ke shaukeen zaroor isme hissa lenge. Pehla shair likhte hain:

**Jinhe main dhoondta tha AasmanoN meiN zameenoN meiN

voh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeenoN meiN**

‘Noon’ se shair likhiye !!!

Neend Naraz Ho Gaye Hum Se
Hum Ne Jis Raat Tum Ko Yaad Kiya

**ab dil ke waswason ka koi kya kare ilaaj

in ki wafa ka aaj bhi humko yaqeen hai **

ye zaroori tou nahi aag se jul jaaye basher
baaz logoon ko muqaddar bhi jala daitey hain

Na jaane kitne apni zaat mein sharmake utrenge
bhari mehfil mein yoon zikr-e-jafa achcha nahin hota

ussey mein ne muR ker sada na dii kay palat gaya woh bhi
mein khizaaN hova tou pata chala meri zaat ka woh nikhaar tha

**aye dost hue bhi tou apne yun afsane mashoor hue

unwane muhabbat ban ker bhi hum dewane mashoor hue**

Yoo.n achanak teray aariz ka khayal aata hai
Jaysay zulmat mai.n koi shama bhadak uththee hai

Ye

**Ye kaisa karbala hoton pe aake thahra hai ye kaun sara samundar farat karta rahaa

ye kaun hai ke jo baitha hai ghaat mein meri woh kaun tha jo muhabbat ki baat karta raha **

Ashk behtay rahai.n khamoosh seyah raatoo.n mai.n
Our teray rayshmee aanjchal ka kinara na milay

Yaadoon ki aag main meri aankhien sulag uthein
raatoon ko sochney ki aadut na thee mujhey
shayed woh meray ishq ki inteha hi thee
k teray humsafar se raqabat na thee mujhey

Yaad aata hi raha, dil ko dukhata hi raha
meri aankhon se koi khwab churata hi raha.

^ acha shair hai :k:

Iss ikhtisaar ki tafseel koun daikhey ga
k hum bikher gaye kitna samaith ker uss ko

Thanx

*'Woh mere haal par rotaa bahut hai
magar woh zakhm bhi bota bahut hai' *

*Yadon ka ik jhoonka ayaa hum se milnay barsoN baad
Itna roye pehle na thay jitna roye barso`N baad.... *

"daal"

dykh kar tum ko kese raat ke yaad aate hai
aik khamoosh mulaqaat ke yaad aate hai

"ye"

**ye tum kyun is tarah gumsum meri soorat ko takti ho

is aine mein kisko dhoondne lagti hain ye nazrein**

*Na janay kio ye dil ko ehsaas hota hai
Tu nahi hai pas phir bhee pas hota hai
Is dil-e-nadaan ne tujh ko chaha bhee boht hai
Tere hee dum se zindagi ka ehsas hota hai...

*

*Yeh badgumaani hai kaisi qareeb hote huwe
Woh saath chalne mein kuchh dooriyan bhi rakhta hai *

*
ye bhee such hai ke mae tujhe bbhool chuka hoon
ye bhee ghalat nahi ke merii zindagii hai tu
*