Bait Baazii

Ye behter hai ke durd apna chupa hai apne seene mien
Wagarna Saad dushman bhee boht is ko haa dete
TawaQQa hee nahi rakhii kissi se bhalayee ki
Agr hum ye na kerte tu manzil hee ganwa dete

Yadain, udaas aankhain aur aik dil bhuja bhuja
Jatay howay woh kitnay inamaat de gaya......

Next: Alif

*Un se kahoo mujhe khamosh hee rehne dien Waseem
Lub pe aay gi tu hur baat gira`N guzre gii *

Yeh duniya musafir khana hai mehman badaltay rehtay hain
Qissa to wohi farsooda hai unwan badaltay rehtay hain
Mohtaj ghani ho jatay hain shahon ko gadai milti hai
Qismat kay dorahay per aaaksar insan badaltay rehtay hain ...

Next: Noon

*Na ho jaaou budnaam tum is liye
Mae ru ru ke daman bhegota nahii *

*yeh bataa mujhe Dhale gee shab.e.intizaar kab tak?
tiree aarzoo kare gee mujhe saNg.saar kab tak? *

Kartay hain muhabbat sab hi magar
Har dil ko sila kab milta hai
Aateen hain bahaarain gulshan mein
Har phool magar kab khilta hai ...

Next: Ye

*Us ki nafrat bhee mohabbat ho gee
Mere bare mien wo sochay tu sahii *

Yeh ek shab ki mulakaat bhi ganemat hai
Kissay hai kal ki khabar, thori door saath chalo ...

NExt: Wao

Woh dil he kya jo tere milnay ki Dua na kare
Main tujhay Bhool Kay zinda rahon Khuda na kare

.......................

Ye kaisee andherii nagrii hai ke mere khuda
Tu saamne hai mgr tujhe dhoondhta hai koii

Yeh kaun chupke se tanhaeyoon mein kehta hai
Mere baghair sukoon umer bhar nahee milna ...

Next: Alif

*Ashaar mere youn tu zamanay k liye hien
Kuch shair faQat un ko sunanay k liye hien
Ye ilm ka souda ye kitabien ye risalay
FaQt ik shaks ki yaado`N ko mitanay k liye hien *

**Yaad ban ke na tum paas aaya karo
Ashk ban ke juda ho na jaaya karo

Dard dil ka daba hai daba rehne do
Yaad aa ke na isko jagaaya karo **

*Wo tere naseeb ki barishien jo kissi aur chutt per baras gayeen
Dil-e-bekhabR merii baat sun usse bhool ja usse bhool ja *

Aap ko bhool jaayain hum itne tu bewafa nahee
Aap se kya gilla karain aap se kuch gilla nahee
Jurm hai gar wafa tu kya kyon mein wafa ko chor doon
Kehtay hain is gunaah ki hoti koi saza nahee ...

NExt: Ye

Ye hijr hawa bhee dushman hai us naam ke saaray rangoN ki
Wo naam jo mere honto
N per khushbo` ki tarah abaad howaa

Aey Baad-e-Sabah Kuch Tu Nay Suna Mehboob Jo Aanay Valay Hain
Tu Phulon Ko Utha Ham Palkein Bichaney Valay Hain......

**neem shab hotaa hai charcha aangan aangan chaand kaa
roshnii suuraj kii lekin naam roshan chaand kaa?

anginat go aashiqo.n ka suntaa hai woh Haal-e-dil
jaan kar par dard meraa bhar gayaa man chaand kaa **