Bait Baazi Part - LXXI

[QUOTE]
*Originally posted by Capricorn: *

yaa haatho.n haath lo mujhe jaise ke jaam-e-may
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

Pehlay ek sitar ghaib thee :D
[/QUOTE]

Nahi hain yeh log buss main humaray Azad~
Samaitt kar yaad e yaar mekhanay hi lay chalo

(Adab Arz)

[QUOTE]
*Originally posted by Capricorn: *

yaa haatho.n haath lo mujhe jaise ke jaam-e-may
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

Pehlay ek sitar ghaib thee :D
[/QUOTE]

ab to complete hai na:p

Hum to chalay mekhanay .. hum to mekhanay kay ho gay :wave:

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Nahi hain yeh log buss main humaray Azad~
Samaitt kar yaad e yaar mekhanay hi lay chalo

(Adab Arz)
[/QUOTE]

woh kaun hain jinhain toba ki mil gayi fursat
hamain gunnah bhi kernay ko zindagi kam hai

mein aata hoon tumahre peeche, khichaee karne tumharee :smash:

yaaro mujhe mu'aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab do to jaam khaalii hii do mai.n nashe me.n huu.N

na ab raqeeb na na-sweh na gam-gisaar koi
tum aashna thai to theen aashnaiyaan kia kia

aataa hai kis andaaz se tuk naaz to dekho
kis dhaj se qadam pa.Dataa hai andaaz to dekho

woh nahin milta aik baar hamain
aur yeh zindagi dubara nahin

nazar me.n Dhal ke ubharate hai.n dil ke afasane
ye aur baat hai duniyaa nazar na pahachane

ye aalam shauq ka dekha na jaye
woh bu'ut hai ya khuda dekha na jaye

ye kyaa bahaar kaa jauban hai ye kyaa nashaat kaa rang
fasurdaa maikade vaale udaas maiKhaane

Ye nashist kya hai raah mein, tere zauq-e-ishq ko kya huwa
Abhi chand kaantay chubhay nahee ke sab iraade badal gaye...

"ye"

Par hum to apnay shair keh rahay hain aap kisi oor ke …

Hum ne apne shair buhat kam hain tokia karein doosron ke kahne parte hain :rolleyes:

[QUOTE]
Originally posted by Philanthrope: *
**Ye nashist kya hai raah mein, tere zauq-e-ishq ko kya huwa
Abhi chand kaantay chubhay nahee ke sab iraade badal gaye...
*

"ye"
[/QUOTE]

yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye

yeh bhee andaz hamarey ehin tumhey kya maloom
hum tumhey jeet k harey hein tumhey kya maloom
ek tum ho k samajhtey nahin hum ko apna
ek hum hein k tumharey ehin tumhey kya maloom

"meem"

maan mausam kaa kahaa, chhaa_ii ghaTaa, jaam uThaa
aag se aag bujhaa, phuul khilaa, jaam uThaa

aaj phir mehroomiyon ke dastanein orh ker
khaak mein soney lugey hein mein , muhabbat aur tum

manzar hai vahii thathak rahii huu.N
hairat se palak jhapak rahii huu.N