yaar bin talKh zi.ndaganii thii
dostii mudda_ii-e-jaanii thii
Yeh zindagi hay keh eik jaam e talkh aay saqee
Mila kay maa'y main mizaj e yaar peetay hain
(Adab Arz)
nishaat-e-jaan ki qasam tu nahin to kuch bhi nahin
bohat dino hum ne tujhay bhula ke dekh liya
"alif"
ab mujh ko hai qaraar to sab ko qaraar hai
dil kyaa Thahar gayaa ki zamaanaa guzar gayaa
aik naam kia likha tera sahil ki rait per
phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi
"ye"
Azad~ raha nahi kabhi madhoosh raat bhar
Eik teri yaad ki khushbu main jeewan lotta gay
(Adab Arz)
yaa rab nahii.n mai.n vaaqif-e-rudaad-e-zindagii
itanaa hii yaad hai ki jiyaa aur mar gayaa
Yeh beqaraari to inayat hay dainay walay ki
Zakham bhar jain to jeenay ka maza kia hoga
(Adab Arz)
alfaaz main simatt-tay kahan dil-o-jaan ke dard
yoonhi khud ko safhaat se behlaa raha tha main
"noon"
naamaa gayaa ko_ii na ko_ii naamaabar gayaa
terii Khabar na aa_ii zamaanaa guzar gayaa
aik lamhay ko main ne tujhay dekha tha
umr bhar meri nazar main na jacha eid ka chaand
"daal"
Na janay konsa lafz masihaii dee
teray naam ke her lafz ko tasbeh jana
(Adab Arz)
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
Chalain hum nahi khailtay :(
bhai cut n paste ko ahista rakho ......... Hum nay to shair kehnay hotay hain ......
Yeh Hayaa ki baat thi warna dil e Azad
Jalta na bik'harta yon alam e tanhaii main
(Adab Arz)
na kabhi koi keray tujh se teray jaisa sulook
haath uthtay hi yahi lab pe dua aati hai
"ye"
Lolz…hum bhee shair hee kah rahe hain ![]()
[QUOTE]
*Originally posted by La'iba: *
na kabhi koi keray tujh se teray jaisa sulook
haath uthtay hi yahi lab pe dua aati hai
"ye"
[/QUOTE]
yaa haatho.n haath lo mujhe jaise ke jaam-e-may
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N
Pehlay ek sitar ghaib thee :D
Khainch ke rakho abhi kamaan e abru
Dil e natwaan ko hay abhi zakhm e arzo
(Adab Arz)
![]()