Bait Baazi Part - LXXI

naa kisi ke ankh ka noor hoon naa kisi k dil ka karar hoon
jo kisi k kaam naa aa sakey mein woh ek masht-e-ghubar hoon

na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa
Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa mai.n to kyaa hotaa
:teary3:

aaj phir yaad buhet aya woh
aaj phir uss ko dua de hum ney

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa
yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa

aaj tuk jis pey woh shermatey hein

baat woh kub ke bhula de hum ney

ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahii.n
hosh itanaa hai ki mai.n tujh se faraamosh nahii.n

na tou raastaey hi khul sakey na manzilaiN hi mil sakeeN
ik be-nishaN sii umeed par koii kab tak aakhir jia karey

Ye*

Yeh uskaa Tarz-e-takHaatub bhi kHoob hai Mohsin
Rukaa rukaa saa Tabbasum kHafaa kHafaa si AaankheiN.

"noon"

Na tum Rahay, Na Hum rahay, Na rahay dard kay silsilay
Teri wafain, Mera junoon, ban gay barish main pani ke bulbulay

(Adab Arz)

Yun kis tarah katey ga kari dhoop ka safar?....
Sir per khyaal-e-yaar ki chaadar hi orh chalain...