Bait Baazi Part - LXXI

Rules of Bait Bazi:
**-----------------------------------------------------------------------------------

  1. Shair should be genuine and not a fabricated one.
  2. One “response shair” is allowed per shair.
  3. Dont break the chain and always follow the last posted shair.
  4. If more than one shair is posted in response, follow the last posted shair.
  5. If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
  6. We should follow urdu alphabets.
  7. Always mention the last urdu alphabet of your shair. (if it’s “HAMZA” by any chance,
    which could hardly be the case, then also mention the second last alphabet).
  8. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max
    will be allowed.
  9. Avoid posting film songs.
    -----------------------------------------------------------------------------------**
    Shurkiya

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Nahi ati, to kaii dinoN tak nahi aati
Jab aay, to kaii fuse urra dayti hay

(Adab Arz)
[/QUOTE]

ye na thei hamari kismat k visaal-e-yaar hota
kuch aur jeetay rahtey yehi intzaar hota

"alif"

Aa behi ja ka taray keemti waday par mout ko
Tala hai aaj mainay baray ihtaram say

Yeh dil tujh say piyar na karta to saza daytay
Lekha taqdeer ka hota to hum mitta day'tay
...
(Adab Arz)

Yeh teray neqsh-e-qadam hain,sitaray hain k phool
tu guzerta hay to raston main diyai jaltay hain

Na jaanay ab kaun sa zulm reh gaya hai Qamar
Dua woh maangtay hain meri zindagi ke liye

"ye"

ye chiraagh be-nishaan hai ya sitara be-zabaan hai
abhi tujh se milta julta koi dosra kahaan hai

"ye"


Ye tumharai talkh nawaiyan koi seh ke to dikha de
Ye jo hum mein tum mein nibah hai meray hauslay ka kamal hai

"ye"

Yeh dil na chahtey huey bhee tujhe chahta hae
Tujhe na sochooN phir bhi tera khyaal aata hae

"ye"

Yoon bhi hoa hai dil ke muqabil duniya thi
Phir bhi na haara phir bhi na haara aik khayaal

"laam"

Laaa, Laa pila day saaqiya !!!
Paymana Paymanay ke baad
Dheeray say Juka do palkoon ko
Dil ki dunia loott'nay ke baad

hummm

Dastak ki umeed lagaye kab tak Farzana* jeete hum
kal ka wadda karne wale milne aye barsson baad.....!

"daal"

daastaan-e-Gam-e-dil unako sunaa_ii na ga_ii
baat biga.Dii thii kuchh aisii ki banaa_ii na ga_ii

Yeh kahaN kee dosti hai keh banay haiN dost naseh
Koi chara saz hota koi gham gusar hota

Unki nazar main meri tabahi ke waastay
Itna khuloos tha ke shikayat na ho saki

"ye"

Yeh khuloos say shikayatain sub hain hiqayatain
Her hunar azma kay daikh sub Jee ka ziyan hay

(Adab Arz)

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

"yeh"

ye qurbaton main ajab faaslay paray ke mujhay
hai aashnaa ki talab aashnaa ke hotay hoay

"ye"

Yeh bhoolna to hussan walon ka shewa hay
Her mulaqat main pochain tera naam kia hay?

(Adab Arz)