BAIT BAAZI PART IV

Re: BAIT BAAZI PART IV

Kuch kuch ho gayee hay … pur dil ki tassali aisay kahan hoti hay

Re: BAIT BAAZI PART IV

yaron ki muhabbat ka yaqeen kar lia mein nay
pholon mein chupaiya hoa khanjar nahi deekha :eek:

Re: BAIT BAAZI PART IV

Aisi to na thee qismat apnaa bhi koi hotaa
kiyun khud ko muhabbat ka haqdar samajh baithay

Re: BAIT BAAZI PART IV

ohh phir kahin aap key saath wo maamla to nahi…

mein jo ser-b-sajda hua kabhi, to zamee’n se aany lagi sada
tera dil to hey sanam aashna ,tujhy kia milly ga namaz mein

Re: BAIT BAAZI PART IV

yeh aqqamat hamein pe’am-e-safer deti hey
zindagi mot key aany ki khabar deti hey

Re: BAIT BAAZI PART IV

Ye hi bohat hay ke qaim rahay wafa ka bharam
Koi kisi ka hua bhi hay umar bhar ke liay

Friend4u4ever

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yeh log mera ferd-e-jurm daikhtay haan kion
Main nay Faraz khood ko peghember nehi kaha

ALF

Re: BAIT BAAZI PART IV

^:k:

**Is liyay koi ziada nahee’n rukta hay yahan
Log kahtay hain mairay dil pay tera saya hay **

Re: BAIT BAAZI PART IV

Thx

Yeh kis k sog mein shoridda-haal phirta hoon
woh kon shekhs tha aisa k mer gaya mujh mein

Re: BAIT BAAZI PART IV

*Naqsh-e-ghum mit kay phir ubharta hay
Rang dil ka yunhee nikharta hay
Sab ko hoti hay aarzo-e-hayat
Kon hay jo khushi say marta hay *

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yeh jo raat din ka hay khail sa,isay daikh is pe yaqeen na ker
Nehi aks koi bhi musteqil ser-e-aiena usay bhool ja

Alf

Re: BAIT BAAZI PART IV

un ko bhoolay hain tou kuch or parishan hain faraz
apni daanist mein dil ney barhi danaaee ki

Re: BAIT BAAZI PART IV

^
**Yoonhi baywajah kabhi neend uchatt jaati hay
Raat bhar yaadoo'n ka mayla sa laga rahta hay
Mil kay Aankhain jo kaheen bhirr main kho jaati hain
Zindagi bhar unhi Aankhoo'n ka nasha rahta hay

**

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yaron kisi qatil say kabhi payar na mango
apne hi gale k liye talwar na mango
wow

Re: BAIT BAAZI PART IV

woh keh rahe the samandr nahi hai ankhein hain
main youhee’n doob gaya itebaar kartay hoay


:yeh:

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yeh aur baat hai mimber pe aa k kuch na kahain
Kamosh log bela k khateeb hotay hain

Noon

Re: BAIT BAAZI PART IV

Nazuki Un Ke lab Ki Kia Kahye
Pankhari Ek Gulaab Ki Si Hai

(Ye)

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yeh kab kaha tha nazaroo'n say khauf aata hay
Mujhay to chand sitaroo'n say khauf aata hay
Main dushmanoo'n kay kissi waar say naheen darta
Mujhay to apnay hee yaroo'n say khauf aata hay

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yeh aur baat hay k tum hum pe meherban nehi houay
dil-o-jaan to tum pe nisar ab bhi hay

yeh

Re: BAIT BAAZI PART IV

its hain in the end so the starting worg should be Noo’n

**Na jaanay konsa aasaib dil main rahta hay
Kah jo bhi thahra aakhir maka’n chorr gaya
Aqab main gahra samandar hay samnay jungle
Kis intiha pay mayra mahrabaa’n chorr gaya
**