Re: BAIT BAAZI PART IV
Yoo'n dil kay tarrapnay ka kuch to hay sabab aakhir
yaa dard nay karvatt lii yaa tum nay idhar daykha !!
Re: BAIT BAAZI PART IV
Yoo'n dil kay tarrapnay ka kuch to hay sabab aakhir
yaa dard nay karvatt lii yaa tum nay idhar daykha !!
Re: BAIT BAAZI PART IV
iskey uthe’tey hee zara beth jana dil ka
yaad hey aaj bhe hum ko wo zamana dil ka
Re: BAIT BAAZI PART IV
**Abb jis kaa dil chahay wahi pa’ay roshnii
Hum nay to dil jal kar sar e aam rakh diya
**
Re: BAIT BAAZI PART IV
ager wo mil key bicherta to koi baat bhe thee
jis ko paya nahi, us ko khona keisa
Re: BAIT BAAZI PART IV
Akhlaas ki jaa’geer ko hum ahlaay MUHABBAT
taqseem t’o kardaytay hain baychaa naheen kartay
Re: BAIT BAAZI PART IV
yeh bhe aadaab hamarey hein, tumhein kia maaloom
hum tumhein jeet ke haarey hein,tumhein kia maaloom
Ik TUM ho ke samjhtey he nahi ho hum ko:bash:
ik hum he tumhary hein,tumhein kia maaloom:smack2:
Re: BAIT BAAZI PART IV
Milaingee hum ko bhii apnay naseeb ki khushyaa’n
Bas muntazir hain kay kab yeh kamal hona hay … ![]()
Re: BAIT BAAZI PART IV
yeh mogzahh beh mohabbat mujhy dikhaye kabhi
ke sang (stone) tujh pe girry aur zakhem aaye mujhy
Re: BAIT BAAZI PART IV
**Yoo.n na mil mujh say khafa ho jaisay
Saath chal mauj e saba ho jaisay
Log yoo’n daikh kay hans daytay hain
T’u mujhay bhool gaya ho jaisay
**
Re: BAIT BAAZI PART IV
yun teri yaad mein magan din raat rehta hoon
dil ke dherkan bhe sun loon to bura lagta hey
Re: BAIT BAAZI PART IV
yeh mujhay saan’s bhii khul kar nahee’n laynay dayta
mairee shahrag pay jo khanjer hay ka’ee sadyoo’n say
Mainay jis kay liyay her shakhs ko naraaz kiya
Rooth ja’ey na yahi dar hay ka’ee sadyoo’n say
Re: BAIT BAAZI PART IV
yeh jeisy log hein weisey nazer nahi aaty
rafaq’ton mein chupi hein adawatein kia kia
Re: BAIT BAAZI PART IV
Apni barbaadi ka main jaa kar kissay ilzaam doo’n
Apnay hathoo’n say dabo’in main nay apni kishtiyaa’n
Kaun jaanay kis say badla lay raha hoo’n mmain WASI
Aik muddat say ragoo’n main paal kar veeraniyaa’n
Re: BAIT BAAZI PART IV
nai tarah se dil ney nibhaney ki thani hey
vegerna us sey mohabbat bohat purani hey
KHUDA wo din naah laye ke mein kisi se suno’n
ke TU ney bhe gam-e duniya se haar maani hey
Re: BAIT BAAZI PART IV
**Yeh bhi mumkin hay kissi roz na pahchaanoo’n ussay:blush:
Woh jo har baar naya bhais badal layta hay
Bar’haa mujh say kaha tha meray yaroo’n nay WASI
ISHQ darya hay jo bachchoo’n ki nigal layta hay …(so be carefull from ISHQ)
**
Re: BAIT BAAZI PART IV
yeh Ishq tha faqt ishq jis ka masla tha
is imtiha’n mein na sajday they ,na Istikhaary thy
KHUDA kery teri umer mein giny jaein
wo din jo tery HIJER mein guzarey thy
Re: BAIT BAAZI PART IV
^hmmmm
*yeh bata doon tumhain sardiyaan aag barsaaingee uss jagah
soch lo ab bhi warna jal jaogay jaa kay pardais main
Tum pay yoon haath daaliangee tanhaiyaa'n aik waqt aaega
Koi aahat bhi hogi dahal jaogay jaakay pardais main
*
Re: BAIT BAAZI PART IV
na duniya se naah dolat se,naa gher aabad kerny se
tassali dil ko milti hey KHUDA ko yaad kerny se
Re: BAIT BAAZI PART IV
Allah ho Allah ho
Re: BAIT BAAZI PART IV
tassali hui keh nahi?
ager nahi hui to dil se yaad nahi kia hoga …