Re: BAIT BAAZI PART IV
Good one …
But Allah ka khoof karoo bibi …
Re: BAIT BAAZI PART IV
Good one …
But Allah ka khoof karoo bibi …
Re: BAIT BAAZI PART IV
mein khoof ker key hee BIBI bani hoon yeh aap sab key liye hey:)
Re: BAIT BAAZI PART IV
****Precious^Khan*: beautiful!
ab to is rah say woh shakhs guzarta bhi nahi***
ab kis ummed pay darwazay say jahnkay koi
Re: BAIT BAAZI PART IV
YahaN to pal meiN badal letey hein khuda bhi
wo saari umr hi mera tawaaf kya karta
bicharrtey lamhey barri deir tak wo roya tha
wo is barrh ke mera aetreraaf kya karta!
Re: BAIT BAAZI PART IV
Thanx **ghazal kissi ki **![]()
**
Aisii Jaagi hi naheen dil main tamanna koi
Tujh say bichrray hain to phir khwaab na daikha koi
Hain buhat log jinhain piyaar kiya jaey magar
Dil jissay TOOT kay chahay nahee’n aisa koi
**
Re: BAIT BAAZI PART IV
Yeh Rida-e-jaan tujhay sonnp doon k na dhoop tujh ko kerhi lagey
Mere jeetay g tujhay dukh na dain kisi mehr-e-Ghum ki tamazetain
Re: BAIT BAAZI PART IV
Na itnaa bhi koi hasrat zadaa majboor ho jaey
Kah ho nazdeek manzil aur us say door ho jaey
Hifazat dil kii kiyun karay koi rah e muhabbat main
Yeh sheesha hay yahi bahter hay kah chaknachoor ho jaey
Re: BAIT BAAZI PART IV
ye aaRii-tirchii lakirain banaa geyaa hay kaun
main kyaa kahuN ke merey dil ka waraq to saada tha
main laut aayaa huuN Khaamoshiyon key sehara sey
wahaaN bhii terii sadaa kaa Ghubaar phailaa thaa
Alif
Re: BAIT BAAZI PART IV
**
Aaghaaz ka wasooq hey na anjaam ki khabar
aesey katey huwey heiN kisi daastaaN sey hum
**
"meem"
Re: BAIT BAAZI PART IV
^
**
Miaray Dimagh nay phir sochna hee chorr diya
Koi khayal na aya tayray khayal kay baad
**"dal"
Re: BAIT BAAZI PART IV
dard kii baarish sahii madham zaraa aahistaa chal
dil kii miTii hay abhi tak nam, zaraa aahistaa chal
apney dil hi mein nahin hay uss ki mahrumi ki yaad
us kii aankhon mein bhi hay shabanam zara ahista chal
Laam
Re: BAIT BAAZI PART IV
**La kay darya nay bhi sahil pay humain chorr diya
Hum nay chaha tha kinaroo'n say kinara kar lain
noon
**
Re: BAIT BAAZI PART IV
Beautiful sheir Khan :k:
**
Na ye gham naya na sitam naya ke teri jafaa ka gila kareiN
ye nazar thi pehley bhi muztarib, ye kasak to dil meiN kabhu ki hey
“Ye”
**
Re: BAIT BAAZI PART IV
Ye zaraa zaraa si baat par tarhaN tarhaN kay azaab kiuN
jo kisi say bhi khafaa na ho mujhey us khuda ki talaash hay
Ye*
Re: BAIT BAAZI PART IV
**
Ye be'rukhi ke nashtar to meiN kab sey seh raha hooN
is baar tum milo to koi zakhm naya lagaana
"alif"**
Re: BAIT BAAZI PART IV
Ijaazat ho tou keh dooN qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhey kuch tou fasaana yaad hey kuch tum suna dena
meiN mujrim hooN mujhey iqraar hey jurm-e-mohabbat ka
magar pehley khataa par ghaor kar lo phir sazaa denaa
Alif*
Re: BAIT BAAZI PART IV
aur bhi dukh hain zamanay main mohabbat kay siwa
rahatayein aur bhi hain wasaal ke rahat kay siwa
"ALIF"
Re: BAIT BAAZI PART IV
Auroon jaisay hu ker bhee mua'tbir hein logon mein
Kuch Logon ka sada pun hay, kuch unki ayari hay...
Re: BAIT BAAZI PART IV
Yoon to hain bayshumar wafa ki nishaaniyaa'n
Lakin har shay say niralay tumharay Khat
Parwah mujhay naheen hay kissi chaand ki wasi
Zulmat kay dasht main hain ujaalay tumharay khat
Re: BAIT BAAZI PART IV
Couldn't find one with to'eiN :) Here is one I created 'on the fly'
**
Taaq meiN deeye rakh ke jalaana acha hota hey
aaNkhoN ko khaboN sey bachana acha hota hey
barasti hui nigaahoN ka suraagh koi nahi paata
baarish meiN yuNhi bheeg jaana acha hota hey
"ye"
**