Continued from previous thread :
MahaRaja
ik raat yeh kehney lagey shabnam sey sitaray
hur subh naye tujh ko muyasar hain nazaray
kya janneeye,tu kitnay jahan dekh chuki hai
jo ban key mitay,un kay nishan dekh chuki hai.
Continued from previous thread :
MahaRaja
ik raat yeh kehney lagey shabnam sey sitaray
hur subh naye tujh ko muyasar hain nazaray
kya janneeye,tu kitnay jahan dekh chuki hai
jo ban key mitay,un kay nishan dekh chuki hai.
In Hasratou Se Kehdo Kahi Aur Ja Basai
Itni Jaga Kaha Hai Dil-e-Daghdaar Mai
(shah zafar)
Apni Aankhon ke samander mein uter jane de
Tera mujrim hoon mujeh dhoob ke mar jane de.
Yeh Rat'jagoon ka kisi tor silsila na rahe
Milo to yoN keh Becharne ka shaiyba na rahe
(yee)
cindrella and room! yaar apnaa shair wahan say shuroo karo jahan pehla khatam hota hai..
(starting from yee)
yee kya kay be-sabub aaiy moat jawani main
kyoo(n) naa tumhari kisi adaa pay marain.
(noon)
[This message has been edited by Nomi 007.]
Na ji bhar ke daikha Na kuch baat ki
Barri aarzoo thi mulaqat ki
Main chup tha to chalti hava rukh gai
Zubaan sub samjhte hain jazbaat ki
Kayi saal se kuch khaber hi nahi
Kahaan din ghuzaara, Kahaan raat ki
(yee)
Yeh zard zard chehra, yeh laaghari badan mein
Kya ishq mein huwa hai, ay Meer haal tera
(alif]
.
[This message has been edited by Amazed (edited 09-04-98).]
yeh jo muhabbat hai,yeh un ka hai kaam
mehboob ka jo bas, laitay hain naam. :)
[This message has been edited by MahaRaja.]
Mr.Nomi nazar nahi aata kiya???
http://www.pak.org/gupshup/frown.gif
I have started my shair from the letter “i” as MahaRaja finished by “i”
Mooti Hai In Ki Teh Mai Ke Pathar Kisai Khabar
Dil-e-Nou Samandarou Se Bhi Gehrai Hai Yaaro
Cinderella!
Aqal ki andhi "Hai", "i" nahi "yeh" laina tha. Nomi thanks for advice.
Woh kahein bhi gaya lota to mere pas ayaa
Bus yehi baat hai achi meray harjae ki.
(ye)
[This message has been edited by room (edited 08-18-98).]
yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?
loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN
had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste
aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN
ROOM!
How dare u called me Aqal ki …
http://www.pak.org/gupshup/frown.gif
meri marzi I can write any thing…OK!
Na Jane Koun Si Qayamat Ka Paish Khaima Hai
Yeh Uljhanai Teri Be intisaab Ankhou Main
Na aab woh yadoon ka charta daria Na Fursaton ki uddas bharka!!!!!!!!
yonhi zara si kisak hai dil maiN Jo zakham ghira tha bhar gia how
.
[This message has been edited by Amazed (edited 09-04-98).]
Nighah mot pay rakhta hai mard-e-danishmand
hayaat hai shab-e-tareek mein sharar kee namood.
Dil Juda Hou Tu Phir Mulaqat Se Kiya Hasil
Yuh Tu Sahil Se Samandar Bhi Mila Kartai Hai
Yaad kartay hai(n) kissi ko, magar itna bhi nahee(n)
Bhool jatay hai(n) kissi ko, magar aisaa bhi nahee(n).
noon
cinderella
tum aqal hi ki nahi waisay bhi andhi lagti ho...pucho kaisay.
By the way yeh tum her dafa apni tasveer sath mein kyon post karti ho....(is say kuch nahi hone wala)
Na jane kon se guzray huway lamhay ka saya hai
Her ik mahfil mein jana aur phir tanhayaan likhna.
(Alif)
[This message has been edited by room (edited 08-20-98).]
Aaj hi to kisi se becharre hain
Aaj ki raat chand'ni kiyoon hai