Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ yeh kaisa ajeeb o ghareeb shair .. kia lafz tha woh ?

insha jee bohat deen beet chukay
tum tanha tha, tum tanha hoo
yeah joog bajoog tu theek nahi
yeah roog kissi ka acha ho ?

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ kaha na bohot ajeeb tha yaad nahi raha : p

woh log tumnay aik hee shokhi main kho diye
paida kiya falak nay jinhain Khaaq chchaan kar

ray

ps: insha ji pathaan kab say hogaye? tum tanha tha, tum tanha ho

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ insha jee ka shair likhne walee patahan hai smack

rishtoon ki humain itnee pehchan thee kahan pehlay
kehnay ko marasim to apnay thay bohat gehray
ashkoon kay siwa lakin ,kuch na mila hum ko

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ shak tha mujhay

WOH baRa raheem-o-kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ataa karay
tujhay bhoolnay ki dua karuN to dua maiN meri asar na ho

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ ghalat shak tha hoonh

woh jis ka milna na mumkin
woh mil jaye tu kaisa hoo ?

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ monh esa hee ho jayega bas karain

wo baat saray fasanay main jiska zikar na tha
wo baat un ko bohot naagawaar guzri

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye baat kisi ko nahi maloom ke Momin
Qari nazar aata hai, haqeeqat main hai Quran..

'Noon'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

nazdeekion main doorioon kay manzar talaash ker

jo haath main nahi woh pather talaash ker

koshish ker. umeed rakh or rasta bhi chun

phir is k bad thora muqaddar talaash ker

ray

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^^ hahahahah ye shair aaj post nahi hoga, doosri dafa ghalat huwa hay : D : D

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Rekhta ke tumhi ustaad nahi ho Ghalib
Kehtay hain, aglay zamanay main koi Meer Bhi Tha

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aye ahl-e-junoon aao kay weeraN hain shabo roz
ujri hui mehfil ko phir ik baar jama lain

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Nazakat naaz'nenon ke banaye se nahi banti
Khuda jab husn deta hai, nazakat aa hee jati hai

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yunhi nahee hain ye eeza pasandiyaaN apni
hum uskay Gham se Khushi bhi kasheed kartay hain

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

uuuuuuuuuhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

hahahahahah

chai ???

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Na ker is tarah tu meri aarzu
raigaan jayegi ye teri justuju

'Wow'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

wo sabaq mein paRh ke bhula chuka kay usool banatay hein zindagi
mujhey mantaqi si daleel day, ye muhawaray na suna mujhay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ab main ye say woh shair nahi post ker rahee to kissi nay bhi nahi kia naraz

yeh baatain jhoote baatain hai yeh logon nay phaylaain hain
insha jee ka nam na lo kia insha jee sodaaye hain ?

noon

lamba saaaaaaaaaaaans

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ at last : )

nahin miltay ho mujh se tum to sab hamdard hain meray
zamana mujh se jal jaye agar tum milnay aa jao

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

waqt nay kia , kia ajeeb sitam
tum rahay na tum , hum rahay na hum

meem