Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

waqt ki aanch per pathar pighal jaatay hain

qahqahay toot ker ashkoon main badal jatay hain

kon dayta ha kisi ka sath ummer bher

waqt kay sath khiyalaat badal jatay hain

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^^
narm daam-e-guftagoo, garm daam-e-justajoo
razm ho ya bazm ho, paak dil-o-paak-baaz!

zzzaayyyy, kya yaad karaingi : )

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Zindage raqs kabhi kertee thee

ab to chup chap pare hai mujh main

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

very nice shair lekin aap ye pehlay post kar chuki hain is hee tread main : )

koi aur dhoond kar laain, jab tak chai : p

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ achee bistee kertay hain app hoonh

zamanay ko qareenay say woh apnay sath rakhta hai

magar mere ley us ko koi lamha nahi milta

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ na meri ye majaal? modbana guzarish ki thi : p

idhar udhar main hay farq kitna
idhar amaan hay udhar hay fitna

udhar khayaanat idhar dayaanat
udhar hay dhoka idhar wafa hay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yaqeen hay k na aye ga ga mujh say milnay koi

to phir yeh dil ko mere intizaar kaisa hay

yeh

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yaaN saans ka lena bhi, guzar jana hai gee say
yaaN maarka-e-ishq bhi, ik khail tha dil ko

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Waqt acha bhi aye ga Nasir
Gham na ker, Zindagi pari hai abhi

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye jo din raat ka hay khail saa, ussay dekh, us pay yaqeen na kar
nahi aQs koi bhi mustakil, sar-e-aaiena, ussay bhool ja

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Usay apni farda ki fikr thi, wo jo mera waqif-e-haal tha
wo jo uss ki subh-e-urooj thee, wohi mera waqt-e-zawal tha

kahan jao ge mujhe chhor ker, main ye pooch pooch ke thak gaya
wo jawab mujh ko na de saka, wo to khud sarapa sawal tha

'Alif'

Aaj phir dil pay ghata chayee teri yadooN ki
Aaj phir toot kay roya hooN maiN sawan ki trha

" Alif "

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

inhee rastoon nay mujh say ,jin per kabhi tum thay saath mere

mujhay rok rok k poocha tera Humsaffar kahan hai

yeh

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yeh meri waaraftagi, ma'az-ALLAH
tum bhi aaye to kuch khabar na hui

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yeh Pyaar Dard Na Ban Sakay Jis K Nashay Main

Pila Day Mujh Ko Aaj Wohi Jaam Zindagee

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye hay maikdaa, yahan ki har shay ka hazoor
ghum-e-hayat bohat ehtaraam karta hay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye kis ne kaha tum kooch karo, batain na banao insha'jee
ye sheher tumhara apna hai, isay chhor na jao insha'jee

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yun aandhiyoon main shaaKhain karti hain shor jesay
parindoon kay ghonslooN par qayamat ki ik ghhaRi ho

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

wo raatein chand ke saath gayeein, woh baatein chand ke saath gayeein
ab sukh ke sapne kya dekhein jab dukh ka suraj sar par

ray

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

raat luGhaat-e-umr say, mainay chunna tha ik lafz
lafz bohot ajeeb tha, mujhay yaad nahi raha

alif