Bait Baazi Month Of March 2010

**Rules of Bait Bazi:

1.** Shair should be genuine and not your own. *
— > Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.*

2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.

3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.

**4. **If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).

5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.

Last shair was posted by me

Yay lamhooN ki nahiN hai yay sadiyooN ki musaafat hai
Kisi ki yaad ka sehra, mohonnat hamsafer meri
Wohi her waqt sochooN per kisi ki yaad ka pehra
Wohi din raat ka jalna, mohobbat hamsafer meri

“Yay”

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yeh jo khuwahishoon k parind hain urain gay apne hee moj main

*inhain mousmooN say gharaz nahi ..sarab day k aab day *

yay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye seedhi rah par chalna kahan say seekh aye ho?
ye rasta dosti ka hay, ye Ttairha ho bhi sakta hay

yay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yun Toh Har Shaam Ummido Mein Guzar Jaati Hai
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Aye dard bata kuch tu hi pata
ab tak ye mu'amma hal na huwa
hum main hay dil-e-betaab nihaaN
yaa aap dil-e-betaab hain hum

meem

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

mUjhey Dass Liya hAi ShaOor Ney.. kOii Zehar Sa Rag O jAan Mein hAi
kOii Naag LiPta hAi iS Trah ...Meri Khaal Tan Sey Utar Gaii

yay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye tumhari talk nawaeeyan koi aur seh kar dikha to day!
ye jo hum main tum main nibah hay, meray hoslay ka kamal hay

yay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yoonhe mausam ki ada dekh ker yad aya

kis qadar jald badal jatay hain insaaN jaana

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aaj na janay raaz ye kya hay
hijr ki raat, aur itni roshan!

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

*na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana *

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

meray in roz-o-shab ka ik faqat unwaan bus tum ho
mujhay tum doosra unwaan laado phir chalay jaana

alif

Aankh maiN pani bhar ker laya ja sakta hai
Ab bhi Jalta shehr bachaya ja sakta hai
Aik mohobbat wo bhi aik nakaam mohobbat
Lakin is say kaam chalaya ja sakta hai

" Yay "

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye jo gerdishay hai hayat pr.
Meri khawahisho ka kamal hai

yay smack

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye acha hay kay aapas kay bharam na tootnay payen
kabhi bhi dostoon ko aazma kar kuch nahi milta

alif

Us moom si larki kay hoslay thay bohot
Jabhi to dukh umer bhar usay milay thay bohot
Wo ek barf si larki jo mujh maiN reti hai
Us barf si larki say mujhay gilay thay bohot

" Taay "

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ zabardast wah wah

TU chala gaya mere Humsafar ,mur k to daikh ik nazar

mere kashtiyan hain jalee hoye..tere Saahiloon say zara paray

*yay *

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye bhi shayed zindagi ki ik adaa hay dosto
jisko saathi mil gaya wo aur tanha ho gaya

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ooo u cheater last word Alif aya tha app meem say shair suna gayee smilestar

ab der ho chuki : p

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

in baarishoon say doste achee nahi faraz
kacha tera makaan hay kuch to khiyal ker

ray