Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ akhri word kia hay wow ya noon ?

the reader > to main us ka bhi shair bana daytee snooty

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ :omg:..

last word WOw hai :stuck_out_tongue:

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Wafa ke waday woo saray bhula gaiya chup chap
Woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap

pay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

Alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ajj main Akaila hoon dil sawal kerta hai

log to us kay thay .kia khuda bhi us ka tha

alif

phir ghalat, aakhri word "noon" tha, noon ghunna, ab aap har gaiee hain, 2 dafa mistake ki hay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aye taaer-e-lahooti, is rizq say maot achi
jis rizq say aati ho parwaaz main kotahi

ye (chooti : p)

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ mujhay pata tha noon hai lakin kinzz kay nazdeek wow hay to main ker sakte hon kinz us sahir ki malik hain woh jo chahay lafz bataain ... smilestar

ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza
vo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ ji ok, baray logoon ki bari baatain : )

ye saaneha bhi muhabbat main baar-ha guzra
ke usnay haal bhee poocha to aankh bhar aai

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

the reader are you a Urdu Teacher?? just asking..:p

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ji nahi, kahaan aik teacher aur kahaan main, itni auqaat nahi hay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

In hasratoon se keh do kaheen aur ja basain
Itni jagah kahaa hai dil-e-daghdaar mein
<!-- google_ad_section_end --> <!-- / message -->

Noon

P_G: ye aapka subject hay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

baray log ? aaho i 100 years old maaiee hoonh

Nadaan hai jo dertay hain duniya k sitam say

saahil nay bhala kon sa toFaan nahi dekha
alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

insaan nay mah-o-anjum ki raahain to dekh leeN
khud uski anjuman maiN ujaala na ho saka

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

**Aaye tu yun ke jaisay hamesha thay meharbaan
Bhoolay tu yun ke goya kabhi aashna na thay

Ye
**

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

oyee yeh ki jaan chor do ab

yeh do din main kia maajra ho gaya

k jungle ka jungle hara ho gaya naraz

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

**Us shaks se wabasta khush fehmi ka yeh aalam hai
Maut ki hichki aayee tu main samjha ke us ne yaad kiya

Alif
**

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aanay ko keh gaye thay, na aaiN khuda karay
kya lutf aaraha hay mujhay intezaar main

noooon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Na hareef-e-jaan na shareek-e-gham, shab-e-intezaar koi to ho
Kisay bazm-e-shauq main laayen hum, dil-e-beqaraar koi to ho


*** Wao***