Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Woh Jo Hum Mian Tum Main Qarar Tha, Tumhain Yaad Hoo Kay Na Yaad Hoo
Wohi Yaani Wada Nibah Ka, Tumhain Yaad Hoo Kay Na Yaad Hoo

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

wo ashk ban kar meri chashm-e-tar main rehta hay
ajeeb shakhs hay, paani kay ghar main rehta hay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yeh Gham e Dil jO Zamanay Say Mila hAi mUjh Ko
Zeest Ka Baar hAi Aisa Kay Utha Bhi Na SakOn

noon : P

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

nazar nay nazar ko nazar say jo dekha
nazar ko nazar ki nazar lag gaiee

yeeeeeeeeeee : p

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ yeh ab w11 waalay shair likhain gay app ? smack

Yaad ki jhel mein kashtiyan jala dena
Itna asan nahi chehron ko bhola dena

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ W11 ko aap kya samajhti hain? its a talent of its own class

aaj tak hay shikast ka ehsaas
aap se arz-e-mud'aa kar kay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yeh kya k har dua mein use ko mangna
Aur mil jai wo to usy ganwa dena

yeh

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ na aap kinzz hain na main P_G : p

apnooN ki dosti ne sikhaya hay ye sabaq
ghairooN ki dushmani bhi inaayat say kam nahiN

noon

by the way ye koi shair hay bhee??? ya aapnay banaya hay????

My first time participating - I hope I do this right:

NaadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho Ghalib
Qismat meiN hai marne ki tamanna koee din aur

Next letter: Re

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

the reader^ jee nahi main koi poetry machine nahi hoon jo shair banana shuroo ker doon

mainy bhi ray say post ker diya smack

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yeh ghaazi yeh tere purisraar banday
jinhain tu nay bakhsha zoq-e-khudayee

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yaad-e-maazi, gham-e-amroz, umeed-e-farwa
kitnay saaye meray saath chala kartay hain

noon

Najanay kon hai jis ki talash main bismil
Her ek sans mera ab safer maiN rehta hai

" Yay"

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye acha hai ke aapas k bharam na tootnay paye
kabhi bhi doston ko aazma ker kuch nahi milta

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ yeh shair pehlay the reader post ker chukay hain .... dobara nahi ker saktay out of rules hai

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ agar wo allow nahi to phir "ye" say hee post kar rha hoon

yaa wusat-e-aflaak main takbeer-e-musalsal!
yaa khaak ki aaghosh main tasbeeh-o-munajaat!
woh mazhab-e-mardaan-e-khud-aagah-o-khuda mast!
yeh mazhab-e-mulla-o-jamadaat-o-nabataat!

te

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

tazheek or iltifaat main day imtyaaz

na muskura dekh k ,haan muskura k daikh

hay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

har dum duniya kay hungamay ghhairay rakhtay thay
jab say teray dhheyaan lagay hain, fursat rehti hay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yoon qatal main bachoon kay wo badnaam na hota

Afoos k firoon ko collge ki na soojhee

yeh