Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yeh bhi kia kam hay ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindagi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi.....


Ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yoo na mil khafa ho jese..

loog haste hain tu muje bhool gaya ho jese...

Yee.

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yuun Buhat hans Ke mila tha lekin
dil he dil main wo khafa ho jesay

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye bhi aadaab hamaray hain, tumhain kya malum
hum tumhain jeet kay haaray hain, tumhain kya malum
ik tum ho kay samajhtay nahi hum ko apna
ik hum hain kay tumharay hain, tumhain kya malum

meem

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Mere sath tum bhi dua karoo yoo kisi ke haq mai bura na ho

kahi aur ho na yeh hadisa koi rastey mai judda na ho

Wow se..

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Woh milta nahi ik baar humain

or yeh zindage dobara nahi

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye Juda'ion ke rastay bari duur tak gaye hain
Jo gaya wo phir na aaya, Meri baat maan jao

'Wow'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

woh jis ghamanD se bichaRa gila to is ka hai
keh saari baat mohabbat main rakh-rakhaao ki thi

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yun Aur Bhi Haseen Ho Jaye
Wo Ger Udaas Ho Bethay

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye dagh dagh ujala ye shab gazeeda sahar.

woh intizaar tha jis ka ye wo sahar tu nahin .....

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

na cheR mallangaN nooN
kuttay pain gay tangaN nooN

noon

PS: bar bar noon ayega to yehee hoga

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ yeh shair nahi hai ..rules kay khilaf hay ...smack

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Na tha kuch to khuda tha, na hota kuch to khuda hota
diboya mujh ko honay ne, na hota main to kia hota

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aye dil ki khalish chal yun hee sahi, chalta to hoon unki mehfil main
us waqt mujhay choonka dena, jab rang main mehfil aajaye

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye mere charou taraf kis liye ujala hai

teri yad hai ya din nikalne wala hai

Hei ..se

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

her chand raah main thay kaantay bichay hoye
jis ko tere talab thee chalta chala gaya

alf

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^^ last shair "hay" par nahi "ye" par end hota hay, aap bhee attentive raha karain : p

azm-e-insaaN hay ke ban jaye farishta lekin
har farishtay ko ye hasrat hay kay insaaN hota

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ kinzz nay last word hay likha .....mere ghalatee nahi koi

ik aag gham-e-tanhaaye ki jo saray badan main phail gayee

jub jisam hee sara jalta ho phir daamn-e-dil bachaain kia

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ agar kinzz nay aakhir main teen nuqtoon wala "Ye" likha hota to???

unki palkoon pay sitaray, apnay hoontoon pay hasee
qisaa-e-Gham kehtay kehtay hum yahan tak aagaye

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yes it was my mistake. Iam sorry...

**EDITED

Yeh mera Hosla hai ke tere baghair

Sans bhi leti hoo aur bat bhi karti hoo
**