Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

rasm-e-ulfat he ijazat nahi deti warna
hum bhi tum ko aisa bholain k sada yad karo

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

wafa na kia hota

wada to kia hota

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aap ke naam se taabinda hai unwaan-e-hayaat
warna kuch baat nahi thi mere afsaane mein

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

nahi tera nashaiman qasr-e-sulatne kay gunbad per

to shaeehen hai basaira ker paharoon ki chitaano main

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye kya baat hui : /

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ kion kia hoa ?

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

na khuda hi mila na wisaal-e-sanam
na idhar kay rahay na udhar kay rahay

: p

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ yaara-e-jahaaN kehtay hain kashmir hai jaanat

jannat kissi kafir ko milli hay na millay gee

yey

hona kya hay, noon par noon pardiya aapnay, meri itni choti si to collection hay : )

ye kashmakash alag hay keh kis kashmakash main hoon
aata nahi samajh, bohot sochta hoon main

noon : p

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

na duniya say na dolat say na gher abaad kernay say

tasalli dil ko hote hay khuda ko yaad kernay say

yay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yaarab dil-e-muslim ko wo zinda tammana day
jo qalb ko garma day, jo rooh ko tarpa day

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yaad-e-maazi azaab hay yarab

cheen lay mujh say hafiza mera

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aa tujh ko bataaoon main taqdeer-e-umam kya hay
shamsheer-o-sana awwal, taoos-o-rubaab aakhir

ray

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

kia wrong ?

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^^ edit kardiya, yey say likh diya tha, phir aapnay bolna tha cheating kargaye : )

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ haan to bait baazi main baidaar ho ker baithain ...yeh muqaabla ho raha hai koi mazak nahi smilestar

Roz kehta hoon bhool jaaon usay

Roz yeh baat bhool jata hoon main

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

na wo hamaray huway aur na hum apnay rahay
muhabbatoon ka ajab karobar humnay kiya

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

itnee kathan musaaftoon kay bad yeh khula

hum jis teraf rawan thay udher raasta na tha

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ab dekh yeh hasrat bhari ujRi hui aankhain
duniya, teray baaray main meray khuwab bahot thay

ye