Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye sochti hui sham'ain, ye jaagtay huway Ghum
ye sab drust sahi, magar jaan-e-man SOJA!

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Uss ne hansi hansi main muhabat ki baat ki
mainay adeem usko mukarnay nahi dia

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

is ada say bichra k rut hee badal gayee

ik shaks saray shehar ko veeran ker gaya

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
Woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye kis maqaam pe soojhi tujhe bicharnay ki
ke abb to jakay kaheen din sanwarnay walay thay

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,
yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye koun phir se unhii rastoN pay chhoR gaya
abhi abhii tu azaab-e-safar say nikla tha

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
Us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Usi aik fard ke wastay mere dil main dard hai kis leay
meri zindagi ka mutalba wohi aik fard hai kis leay

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
Amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

nigaah sey chalka deeye aaNsu safaai detey huway
go harf shikaayat ka maiN zubaaN pay koi laaya bhi nahi

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

nigaah sey chalka deeye aaNsu safaai detey huway
go harf shikaayat ka maiN zubaaN pay koi laaya bhi nahi

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

last shair of the day

Na ker itna yaqeen haatoon ki lakeeron pey

k jin k haath nahi hotay qismat un ko bhi hote hai

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye teri tawajah ka hay ejaaz kay mujh say
har shaKhs teray shehr ka barham hay meri jaaN

noon

Na koi naqsh-e-qadam tha na rahnuma tara!
Dua-e-shaam maiN shayad asar nahi tha wo
Bas aik pal kay liyay hum rukay thay rastay maiN
Badal ga'ay sab hi manzar safer nain tha wo

" Hay "

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Humko unn se wafa ki hai umeed
jo nahi jaantay wafa kia hai

'Ye'

Yay roshni thi k us ka chehra dhiyaan maiN tha
Sitara sa ek chiragh meray makan maiN tha

" Alif "