Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

is raaz ko ik mard-e-farangi nay kiya faash
harchand ke daana issay kholaa nahi kartay
jamhooriyat ik tarz-e-hakoomat hay kay jis maiN
bandoon ko gina kartay hain, tolaa nahi kartay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai
yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yun to ik phool ki patti say behel jaata hooN
main machal jaaoN to sehra ka khhilona chaahooN

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Neeyat e shoq bhar na jaye kaheen
tu bhi dil se utar na jaye kaheen

'Noon'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

uth bandh kamar kya darta hay
phir dekh Khuda kya karta hay
jo umr ko muft ganwaye ga
wo akhir ko pachtaye ga

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

the reader last word noon hay alif nahi ...aankhain kholain : P

naey mosamoN ko bulao mat ke mujhey khusbuoN ki talab nahi
meri rah rehney do khaar khaar meRey leye to yehi bahaaR hey

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ ji nahi, aap apna net theek karwaain hoonh

redid nay pehlay ye post kiya tha

Ibtida e ishq hai rota hai kia
agay agay dekh hota hai kia

phir edit kardiya : )

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye tergee to bahar haal ChhuT hee jaayegi
na raas i humain roshni, to kya hoga?

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Itni duur se mujhko, awaz na do tum yaar
mere andar apna shor, hai apni cheekh pukaar

'Ray'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^^ apna shair post karna allow nahi hay

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

aye naama-bar tu hee bata, tunay to dekhay hongay
kesay hotay hain wo Khat, jinkay jawaab aatay hain

noon

Nikla Tha Tujhay Dhoondhnay Ik Hijr Kaa Taara
Phir Uss Kay Taaqub Main Gaiee, Saari Jawani
ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ one of the best shairs u posted in this thread...

ye ishq nahi aasaan, itna samajh leejiye
ik aag ka darya hay, aur doob kay jana hay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yun bhi nahi ke mere bulanay se agaya
jab reh nahi saka to bahanay se agaya
kuch aur sanpoleay bhi to haqdaar thay Zafar
main apne aap uth ke khazanay se agaya

'Alif'

Abr kuen ker ho sakay is chashm-e-gryaaN ka hareef
Jis ka her ek qatra aashoob - e - toofaaN ka hareef

"** Fay "**

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho
farz karo is peet kay rog main sans bhi hum per bhari ho

wow

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Wo naye gilay wo shikayatain, wo mazay mazay ki hikayatain
wo har aik baat pe roothna, tumhain yaad ho ke na yaad ho

'Wow'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

woh aaye bazm maiN itna to Meer nay dekha
phir uskay baad chiraaGhoN maiN roshni na rahi

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye dard kii tanhaa'iyaaN ye dasht kaa viiraa'N safar
ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaaragii

yey