Bait Baazi Month Of March 2010

[note] Dear posters :)

all of your posts not related to bait bazi are moved in time pass.

kindly stick to the topic (posting shairs). if you want to discuss you can use time pass thread for that.

Thanks

[/note]

It should be **"yay"

****Yay rakh rakhaoo mohobbat sikha gayee us ko
Wo rooth ker bhi mujhay muskra kay milta hai
Kuch is qader bhi to aasaN nahiN hai ishq tera
Yay zehr dil maiN uter ker hi raas aata hai

***" Yay "*

**

**

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yay qanaat hai attat hai keh chahat hai faraz
Hum to razi haiN wo jis haal maiN jaisa rakhay

"Yay"

Yay khatm wasl ka lamha hai raigaaN na samjh
Keh is kay baad wohi dooriyooN ka sehra hai
Isay gaNwa kay maiN is trha zinda hoon Moshsin
Keh jaisay taiz hawa maiN chiragh jalta hai

"yay"

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ya'Rub wo na samjhay hain na samjhain ge meri baat
de aur dil unko jo na de mujh ko zubaan aur

'Ray'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Rahoon Main Hee Millay ThayHum Raahain Nasee Bun Gaieen
Tu Bhee Na Apnay Ghar Giya Hum Bhee Na Apnay Ghar Gaiy

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ya shab ki saltanat main, din ka safeer aaya
ghurbat main akay chamka, gumnaam tha watan main

'Noon'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Na milay zehr to apna hi lahoo peetay haiN
Jaam khali nahi rehtay kabhi saqratooN kay

" Yay "

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye ilm ka sauda, ye risalay, ye kitabain
ik shakhs ki yaado'n ko bhulanay ke leay hain

'Noon'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

na janay ke'yun tumhari yaad ati hai mujhay us dam
merey aangan main jab bay'loN k pattay toot jatay haiN

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

na chaiR aey nikhat-e-baad-e-bahaar, raah lag apnee
tujhay aThkaliyaan soojhee hain, hum bezaar baiThay hain

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Nahi jaati kahan tak fikr e insaani nahi jaati
magar apni haqeeqat aap pehchani nahi jaati

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

YA RAB KAHIN SE BHEJ DE SURAJ KA SAAIBAAN
BADAL KI ANKH HAI MERE KACHAY MAKAN PAR

ray

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Raaz ro ker na apna bataya karo
muskura ker ghamon ko chhupaya karo

'Wow'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

waqt parwarish karta hay barsooN
haadsa ik dam nahi hota

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ek tabassum hai laboon per raqsaan
yani koshish hai ghum chupaney ki
Mairey ahbaab yeh samajhtey hain
Mujh ko aadat hai Muskuraney ki

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

yun bohot hns kay mila tha lekin
dil hee dil main Khafa ho jesay

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

YE KIA HUWA KAY BHARE ASMAAN KAY ANGAN SE
BICHAR GAYA JO SITARA HAMARE NAAM KA THA

alif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

agar kho gaya ik nasheman to kya Gham
muqamaat-e-aah-o-faGhaaN aur bhee hain

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

NAKAMIYUN SE ISHQ KI HADH TAK LAGAO THA
HUM NE TERE JUNOON KO MAQSAD BANA LIYA

alif