Bait Baazi Month Of March 2010

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye aur baat ke tum se gil anahi kartay,
malaal kion nahi hota, malaal hota hai

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Yeh Oor Baat Tairee Gali Main Na Aayen Hum
Laikin Yeh Kiya Keh Shaher Taira Choor Jain Hum
meem

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Mainy mehsoos kia hay us Ahsas-e-karab ko
Dam-e-marg pey zindgee ki jub koi khuwahish keray

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ oyee yeh mera shair hay ..bait baaze main sirf mashoor shura k shair chaltay hain ..out of rule danda

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye rung chehray ke aur khuaab apni aankhon ke
hawa chalay koi aisi bikhar na jayen kaheen

'Noon'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ ghalat, mashoor ki tareef har kisi ki apni apni hoti hay

redidentity nay post kardiya ab kuch nahi hosakta

naa milta naqad jaan de kar bhi ik lamha mohabbat ka
giraan tha is qadar souda ke hum bazaar chohR aaye

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye qaid e maah-o-saal agar yunhi rahee to
Pohnchay ga mere haal ko tuu kitnay baras main

'Noon'

PS: kabhi kabhi main apne ashaar bhi post deta hoon.. it shd only be a quality sher, GS pe aap agaye to mash'hoor to ho gaye na :D

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

first page per sheal k rules bhi perh lain ik dafa

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

mash'hoor ki definition bhi parh lo na :@:

Wo bhi tujh ko mera bana na saka
jis ne qismat meri banai hai

"ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^ wow kahan say redi nay to noon diya hay akhri lafz : P

nasiim-e-subah gulshaN meiN guloN se khelti ho ghee
kisi ki aa'khaRi hichki kisi ki dil-lagi ho ghee

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Ye Bhi shayad zindagi ki ik adaa hai dosto
jis ko sathi mil gaya wo aur tanha ho gaya

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

asuming that redid ka last shair thik tha

aye jazba-e-dil gar main chahoon, har cheez muqabil aajaye
manzil kay liye do gaam chaloon, aur saamnay manzil aajaye

ye

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ok aapka last shair thik tha, ye say end huwa tha

ye jo deewanay do chaar nazar aatay hain
in main kuchch saahib-e-israar nazar aatay hain

noon

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

mere intezar main he beth gaye aap log tou..

Na aatay tum, is main takraar kia thi
magar waada kartay huar aar kia thi

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

ye masaael-e-tasavvuf, ye tera bayaN Ghalib
tujhay ham wali samajhatay, jo na baadaa-Khvaar hota

akif

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Uss gherat-e-naheed ki her taan hai deepak
shola sa lapak jaye hai, awaz to dekho

'Wow'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Waqt He Kuch Judaii Ka Itna Taveel Hoo Giya
Dil Main Tairay Firaq Kay Jitnay Thay Zakham Bhur Gaiy

yey

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

Uss shokh se bichhar ke zafar apni zindagi
jese makaan ho koi dewaar ke baghair

'Ray'

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

raat kiya hai tairee zulfoon ka gehra saaya hai
tu sar munda day too sawaira ho jayey

ye

ps: no offence : p

Re: Bait Baazi Month Of March 2010

^yar yeh kia hai.ok koi masla nai

yaro yehi dosti hai,
kismat sai jo mili hai.

"hay"