Bait Baazi Month Of July 2010

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Abhi lab hil kar rukey na thay abhi hath uth kar jhukay na thay
Tu mila mujhe tau laga mujhe ke meri sab dua'ein suni gaeen ...

"Noon"

NAHIN YAQIN TO AZMA KAR DEKH LO KAISAY BADALTA HAY
TUMHARAY MUSKARANAY SAY DIl-e-NASHAD KAa MOSAM...

"meem"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Mil kar juda huwe tau na soya karenge hum
Ek dosre ki yaad mein roya karenge hum ...

"Meem"

Mai udasia'n na saja sakoo'n in jism o jaa'n ki mazar par...
Na diye jale'n meri aankh mai, mujhey itni sakht saza na de

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh jo hum hijar mein deewar-o-dar ko dekhtay hain
Kabhi saba ko kabhi namaabar ko dekhtay hain ...

"Noon"

na daikha jan kay is nay koi sabab ho ga
isi khayaal say hum dil bura nahi kertay..

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh zaroori tau nahe aag se jal jaye koi
Baaz logon ko muqaddar bhi jala detay hain ...

"Noon"

na tu gham ki dhoop jala saki na hi mosmoon ka asar hua
yeh meri wafa ka hi phool hai jo abhi talk hai khila hua..
meri baat aur ha choriey main aseer-e-jazba-e-ishq hun
zara apney dil ko bhi dekhiey yeh bataiey issey kia hua

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh umer-e-gurezaan kaheen thehray tu yeh janoon
Har saans mein mujh ko yeh lagta hai ke tum ho...

"Wao"

Wo jisy samhajty thy zindagi,meri dharkano ka fareeb tha
mujhay muskrana sikha k wo,meri rooh tak ko rula gaya..

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Ek na ek rif'att ke agay sajda laazim hai tau phir
Aadmi mahv-e-sajood-e-sar-e-khubaan kyon na ho ...

"Wao"

Vahi hai zindagi lekin "Jigar" ye haal hai apna,
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai...

"yeh"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Yeh daur ajjab daur hai har subha ke baad
Logon ke khayalaat badal jaatay hain ...

"Noon"

Nahi fursat yaqeeN mano humaiN kuch or kernay ki
Teri yadaiN, teri bataiN bohot masroof rakhti haiN

** "Noon"**

Na Tum hi Lout kar Ayee, Na ham nay Dii Awaaz....
Sawal Donoun hi Janib Mahaz-e-Ana ka Rahaa...

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


In baharon ke saaye mein aa ja, phir mohabbat rahe na rahe
Zindagi tere na-muradon par, kal talak mehrbaan rahe na rahe ...

"Ye"

Youn hi loog issay MOHABBAT samagh baithay
Woh shaks Mujha Jaan se Pyaara hai aur bass

"seen"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooreyaan hum ne
Chiraagon ko jalaanay mein jalaa lee ungleyaan hum ne ...

"Ye"

Yeh mat poch k hm zabt ki kis raah sy guzray
Yeh dekh keh tujh par koi ilzaam na aayaa..!!

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2010


Apna dard chupaana kitna mushkil hai
Toot ke phir muskuraana kitna mushkil hai
Door tak jab chalo kisi ke saath tau phir
Tanha laut ke aana kitna mushkil hai ...

"Ye"